QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






 *🥀 QURBAANI 🥀*





➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅾 2⃣

 ★ Agar kisi par Qurbaani waajib hai or us waqt us k paas rupye nahi to udhaar le kar ya koi chiiz bech kar k Qurbaani kare.

FATAWA AMJADIYAH
Jild..3..Safa..315
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Hazrate Ahmed bin Ishaaq..rehmatullah alah..kehte hain..k..
      Mera aik gharib bhai tha..gharib tha fir bhi Allah ki raza k liye Qurbaani karta tha..Us k marne k baad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai..mene dekha k..
      Mera bhai Aik ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai..Mene poocha..k Allah ki baargah me tera kya maamla raha..to wo bola k...
      Aik budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya..to mene poocha k ye sab ghode ?...to kehne laga k...
      Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai..to mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola k..JANNAT ki taraf..or meri nazron se ghaaib ho gaya.
▪Ye to nafli Qurbaani ka ajar o sawaab hai..Waajib ka aur zyada sawaab hoga..or..
      Aik dusra pehlu ye bhi pata chala k..Jo log waajib hone k baad bhi Qurbaani nahi karte Un k liye bhi is mein ibrat O raghbat hai..k Wo kitni badi sa-aadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain.

DURRATUN NAASIHIIN
ABLAQ GHODE SUWAAR





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10