संदेश

जुलाई, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

BAAKI KE DINON KI RAMI AUR MASAAIL 2⃣9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *LAST POST 29* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ BAAKI KE DINON KI RAMI AUR MASAAIL.* ▶ Barhweeh ki rami karke guroob e aaftab se pehle pehle ikhtiyaar hai ki Makkah Mu'azzama ko ravana ho jaao magar guroob ke baad chala jaana bura hai, abh ek din aur therna aur terhweeh (13th) Zilhijjah ba dastoor dopahair dhale rami karke Makkah Mu'azzama jaana hoga aur yahi afzal hai magar aam log barhweeh ko chale jaate hai toh ek raat din yahañ aur qiyaam mein thode logoñ ko dikkat hogi aur agar terhweeh ki subha yaani fajr ki namaaz ka waqt hogaya toh abh baghair rami kiye jaana jayez nahi, jaaega toh dum wajib hoga dasvi ki rami ka waqt upar zikr huwa gyarweeh, barhweeh ka waqt aaftab dhalne yaani zohr ka waqt shuru hone se subha yaani terhweeh ke suraj ki pehli kiran chamakne tak hai magar raat mein yaani aaftab doobne ke baad makrooh hai aur terhweeh ki rami ka waqt subha yaani fajr ki namaaz ka waqt shuru...

BAAKI KE DINON KI RAMI 2⃣8⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 28* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ BAAKI KE DINON KI RAMI* ▶ gyarah tareekh ko zohr ki namaz ke baad phir rami ko chalo. Inn ayyam mein rami jamra e ula se shuru karo jo masjid khaif se kareeb hai iski rami ko raahe Makkah ki taraf se akar chadaai par chadho ki yeh jagah ba nisbat jamartul aqba ke baland hai yahañ qibla ki janib muñh karke saañt kankariyañ zikr kiye gaye tareeke ke mutabik maar kar jamra se kuch aage badh jaao aur qibla ki taraf muñh karke dua mein yuñ haath uthao ki hatheliyan qibla ko rahe, qalb ki hazri ke saath hamd wa darood wa istighfaar mein kam se kam bees ayate padhne ki qadr mashgool raho warna paaù (1/4) para ya surah baqarah ki miqdaar tak. ▶ Phir jamarah wusta par jaa kar aisa hi karo. ▶ Phir jamartul aqba par, magar yahañ rami karke na tehro fauran palat aao aur palate mein dua karo. ▶ Bilkul isi tarah barhweeh tareekh zawaal ke baad teeno jamre ki rami karo baaz...

HAJJ KI QURBANI WA MASAAIL AUR HALAQ 2⃣7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 27* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ HAJJ KI QURBANI WA MASAAIL AUR HALAQ* ▶ Abh rami se farig ho kar qurbani mein mashgool ho yeh qurbani woh nahi jo bakri eid mein huwa karti hai ki woh toh musafir par bilkul nahi aur muqeem maaldaar par wajib hai agarche Hajj mein ho, balki yeh Hajj ka shukrana hai qiraan aur mutamatte par wajib agarche fakeer ho aur mufrid ke liye mustahab agarche ghani ho, jaanwar ki umr wa aaza mein wahi sharte hai jo eid ki qurbani mein hai. ▶ Mohtaj mehaz yaani jiski milk mein na qurbani ke layak koi jaanwar ho na uske paas itna naqad ya asbaab ki usey bechkar kar sake woh agar qiraan ya tamatto ki niyyat karlega toh iss par qurbani ke badle dus (10) roze wajib honge, teen (3) toh hajj ke mahine mein yaani pehli shawwal se navvi zil hijja tak ehraam bandhne ke baad, iss beech mein jabh chahe rakle ek saath, chahe juda juda aur behtar yeh hai 7,8,9 ko rakhe baaki 7 terhvi...

RAMI KE MASAAIL 2⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 26* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ RAMI KE MASAAIL* ▶ Saañt (7) se kam jaaiz nahi agar sirf teen maari ya bilkul nahi toh dum lazim hoga aur agar chaar maari toh baaki har kankari ke badle sadqa deiñ. ▶ Sab kankariyan ek saath phenki toh yeh saañtoñ ek ke qayim maqaam (jagah) huwi (yaani ek hi gini jaaegi) ▶ Jamra ke paas se kankariyan uthana makrooh hai ki wahañ wahi kankariyan reh jaati hai jo maqbool nahi hoti aur mardood ho jaati hai aur jo maqbool ho jaati hai utha li jaati hai. ▶ Iss rami ka waqt aaj ki fajr se gyarwi ki fajr tak hai magar Masnoon Sunnat yeh hai ki tulu'e aaftaab se zawaal tak ho aur zawaal se guroob tak mubaah aur guroob se fajr tak makrooh yuñhi dasvi ki namaze fajr ka waqt shuru hone se tulu'e aaftaab tak makrooh aur agar kisi uzr ke sabab ho maslan charwaho ne raat mein rami ki toh karahat nahi. *📚 Raddul Mohtar.* https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX...

MUZDALIFA KE WUQOOF WA MEENA KE AAMAAL AUR HAJJ KE BAAKIYA AAF'AAL 2⃣5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 25* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ MUZDALIFA KE WUQOOF WA MEENA KE AAMAAL AUR HAJJ KE BAAKIYA AAF'AAL* ▶ *Masla -* Wuqoof e Muzdalifa ka waqt namaz e fajr ka waqt shuru hone se pehle ujala hone tak hai yaani sooraj nikalne se pehle tak hai iss darmiyan mein Wuqoof na kiya toh faut hogaya aur agar iss waqt mein yahañ se ho kar guzar gaya toh Wuqoof ho gaya aur Wuqoof e Arfat mein jo baatein thi woh yahañ bhi hai. ▶ Namaz e fajr se qabl magar tulu'e fajr ke baad yahañ se chala gaya ya tulu'e aaftab ke baad gaya toh bura kiya magar uss par dum wajib nahi. ▶ Jab tulu'e aaftab (sooraj nikalne) mein do rakaat padhne ka waqt baaki reh jaaye imaam ke saath meena ko chalo aur yahañ se chhoti chhoti kankariyan khajoor ki gutli barabar ki paak jagah se uthakar teen baar dholo kisi patthar ko todh kar kankariyan na banao aur kankariya na najees (napaak) jagah ki ho na masjid ki na jamra ke paa...

MUZDALIFA KI RAVAANI AUR USKA WUQOOF 2⃣4⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 24* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* _*⏩ MUZDALIFA KI RAVAANI AUR USKA WUQOOF*_ ▶ Jabh guroob Aaftab ka yakeen ho jaaye toh fauran muzdalifa ko chalo aur imam ke saath jaana afzal hai magar woh deir kare toh uska intezaar na karo. ▶ Wahañ pahuchkar jahañ tak ho sake jable qazha ke paas raaste se bachkar utro warna jahañ jagah mile. ▶ Ghaliban wahañ pahuchte pahuchte suraj doobne ke baad jo laali zahir hoti hai doob jaaegi magribh ka waqt nikal jayega sawaari se asbaab utarne se pehle imam ke saath maghrib wa isha padho aur agar waqt magribh baaki bhi rahe jabh bhi abhi magribh hargiz na padho na arafat mein padho na raah mein ki iss din yahañ namaz e magribh waqte magribh mein padhna gunaah hai aur agar padh loge toh isha ke waqt phir padhni hogi garaz yahañ pahuch kar magribh waqt e isha mein adaa ki niyyat se padho na ki qaza ki niyyat se jahañ tak ho sake imam ke saath padho magribh ka salaam ph...

WUQOOF E ARAFAT2⃣3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 23* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ WUQOOF E ARAFAT* *▶ Masla* - Thodi deir thehairne se bhi Wuqoof hojata hai chaahe usse maloom ho ki arafat hai ya maloom na ho, ba wazu ho ya be wazu, junoob (napaak) ho ya haiz wa nifaas wali aurat, sota ho ya bedaar ho, hosh mein ho ya junoon wa behoshi mein yahañ tak ki arafat se ho kar jo guzar gaya usse Hajj mil gaya yaani abh Hajj uska fasid bekaar na hoga jabh ki yeh sab ehraam se ho. Behoshi mein ehraam ki soorat yeh hai ki pehle hosh mein tha aur usi waqt ehraam baandh liya tha aur agar ehraam bandhne se pehle behosh hogaya aur uske saathiyoñ mein se kisi ne ya kisi aur ne uski taraf se ehraam baandh diya agarche iss ehraam baandhne wale ne khud apni taraf se bhi baandha ho ki uska ehraam iske ehraam ke munaafi khilaaf nahi toh iss soorat mein bhi woh muhrim hogaya. Doosre ke ehraam baandhne ka yeh matlab nahi ki uske kapde utaarkar tehband baandh de...

WUQOOF E ARAFAT KE MAKROOHAT AUR MASAIL 2⃣2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 22* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ WUQOOF E ARAFAT KE MAKROOHAT AUR MASAIL* ▶ Guroob e aftaab se pehle Wuqoof chordh kar rawaangi jabh ki guroob tak arafat ki haddoñ se bahar na ho jaaye warna haram hai. ▶ Namaz e asr wa zohar milaane ke baad mauqaff ko jaane deir karna. ▶ Uss waqt se guroob tak khaane peene ya khuda ki taraf tawajjoh ke siwa kisi kaam mein mas  MASAIL.* *ool hona. ▶ Koi dunyawi baat karna. ▶ Guroob par yakeen ho jaane ke baad ravaangi mein deir karna. ▶ Maghrib ya isha arafat mein padhna *▶ Masla* - Wuqoof ka waqt navvi (9) Zilhijjah Ke aaftaab dhalne se dasvi (10) ki tulu'e fajr ( subha sadiq yaani fajr ki namaz ka waqt shuru hone) tak hai iss waqt ke alawa kisi aur waqt Wuqoof kiya toh hajj na mila magar ek soorat mein woh yeh ki Zilhijjah ka chand dikhayi na diya zi'qada ke tees (30) din poore karke Zilhijjah ka mahina shuru kiya aur iss hisaab se aaj navvi hai baad k...

WUQOOF E ARAFAT 2⃣1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 21* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ WUQOOF E ARAFAT* ▶ Jabh dopahair kareeb aaye gusl karo ki yeh Sunnat e Muakkada hai aur na ho sake to sirf wazu karo. ▶ Dopahair dhalte hi balki isse pehle ki imaam ke kareeb jagah mile Masjid e Namrah jaao Sunnatein padh kar khutba sun kar imaam ke saath zohar padho uske baad bina deir kiye asr ki takbeer hogi fauran jama'at se asr padho beech mein salaam wa kalaam toh kya ma'ana sunnatein bhi na padho asr ke baad bhi nafl nahi yeh zohar aur asr mila kar padhna jabh hi jayez hai ki namaz ya toh sultan (badshah) padhaye ya woh jo hajj mein uska nayib ho kar aata hai, Jisne zohar akele ya apni khaas jamaat se padhi usey waqt se pehle asr padhna jayez nahi aur jis hikmat ke liye Shari'at ne yahañ zohar ke saath asr milane ka hukm farmaya hai yaani guroob aaftaab tak dua ke liye waqt khali milna woh jaati rahegi. ▶ Khayal karo jabh Shari'at ka yeh wa...

AANTH (8) ZILL HIJJAH2⃣0⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 20* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ AANTH (8) ZILL HIJJAH*  1⃣ Jisne ehraam na baañdha ho baañdh le aur ek nafl tawaaf mein ramal wa sa'ee karle, jaise ki pehle bataya gaya aur ehraam ke mutalliq jo aadab peshtar bayaan kiye gaye yaha bhi lehaaz rakhe aur naha dhokar Masjid e Haram Shareef mein aaye aur tawaaf kare uske baad tawaaf ki namaz ba dastoor ada kare phir do rakaat sunnat ehraam ki niyyat se padhe uske Hajj ki Niyyat kare aur labbaik kahe. Jabh aftaab nikal aaye Meena ko chale agar aaftaab nikalne ke pehle he chala gaya jabh bhi jaaiz hai magar baad mein behtar hai aur zawaal ke baad bhi ja sakta hai magar zuhar ki namaz Meena mein padhe aur ho sake to paidal jaaye ki jabh tak Makkah Mu'azzama palat kar aaoge har qadam par saat karod nekiya likhi jayegi. Raaste bhar labbaik wa dua wa darood wa Sana ki kasrat karo. 2⃣ Yahañ raat ko therna zohar se navvi (9) ki subha tak ki paañch ...

TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL 1⃣9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 19* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL.* ▶ *Masla -* Jo aisa beemar hai ki khud tawaaf nahi kar sakta aur so raha hai uske humrahiyoñ ne tawaaf karaya agar sone se pehle hukm diya tha toh sahi hai warna nahi. ▶ *Masla -* Mareez ko tawaaf karaya aur apne tawaaf ki bhi niyyat hai toh dono ke tawaaf hogaye agarche dono ke do qism ke tawaaf ho. ▶ *Masla -* Tawaaf karte-karte namaz e janaza ya namaz e farz ya naya wazu karne ke liye chala gaya toh wapas aakar ussi pehle tawaaf par beena kare yaani jis phere par aur jiss jagah se tawaaf chordha hai wahi se phir shuru kare tawaaf poora ho jaaega sire se shuru karne ki zaroorat nahi aur sire se kiya jabh bhi harj nahi aur iss soorat mein uss pehle ko poora karna zaroori nahi aur beena ki zaroorat mein jahañ se chordha tha wahi se shuru kare Hajr e Aswad se shuru karne ki zaroorat nahi. Yeh sab uss waqt hai jabhki pehle chaar p...

TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL. 1⃣8⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 18* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL.* ▶ *Masala* - Tawaaf saañt (7) pheroñ par khatam ho gaya abh agar aathva(8) phera jaan bujhkar qasdan shuru kar diya toh yeh ek jadeed naya tawaaf shuru huwa isse bhi abh saañt phere karke khatm kare yuñhi agar mehaz sirf wahem wa waswasa ki bina par aathva phera shuru kiya ki shayad abhi che (6) hi huwe ho jabh bhi usse saañt phere karke khatm kare, haan agar iss aathve ko saatva gumaan kiya baad mein maloom huwa ki saañt ho chuke hai toh issi par khatm karde saañt poore karne ki zaroorat nahi. ▶ *Masla* - Tawaaf ke pheroñ mein shak huwa ki kitne huwe toh agar farz ya wajib hai toh saañt phere kare aur agar kisi ek aadil shaks ne bata diya ki itne phere huwe toh uss ke qaul par amal karna behtar hai aur do aadil ne bataya toh unke kehne par zaroor amal kare aur tawaaf agar farz ya wajib nahi hai toh ghalib gumaan par amal kare. ...

TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL 1⃣7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 17* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL.* ▶ Shuru tawaaf se pehle mard ijtiba'a karle yaani chadar ko dahni bagal ke neeche se nikale ki dahni moñda khula rahe aur dono kinare baayeiñ monde par daal dein. ▶ Abh Kaaba ki taraf muñh karke Hajr e Aswad ki dahni taraf rukne yamani ki janib sang e aswad ke kareeb yuñ khada ho ki tamaam patthar apne dahne haath ko rahe phir tawaaf ki niyyat kare. ▶ Niyyat ke baad Kaaba ko muñh kiye apni dahni janib chale jabh sang e aswad ke mukhabil (saamne) ho kaano tak haath iss tarah uthaao ki hatheliya Hajr e Aswad ki taraf rahe. ▶ Mayassar ho sake toh Hajr e Aswad par dono hatheliyañ aur unke beech mein muñh rakh kar yuñ bosa do ki awaaz na paida ho teen baar aisa hi karo yeh naseeb ho toh kamaal e sa'adat hai yakeenan hamare tumhare Mehboob wa Maula Muhammed ur RasoolAllah ﷺ ne bosa diya aur Chehra e Anwar uss par rakha kya hi khus...

EHRAAM KE MAKROOHAT 1⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 16* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ EHRAAM KE MAKROOHAT.* 1⃣ Badan ka mail chudana. 2⃣ Baal ya badan khali ya sabun wagaira bekhushbu ki cheez se dhona. 3⃣ Kanghi karna. 4⃣ Iss tarah khujaana ki baal tootne ya joo ke girne ka andesha ho. 5⃣ Angrakha kurta, chugha pahenne ki tarah kandhoñ par daalna. 6⃣ Khushbu ki dhuni diya huwa kapda ki abhi jis mein khushbu baaki ho ussey pehenna ya odhna. 7⃣ Janboojh kar khushbu sunghna agarche khushbudar phal ya patta ho jaise neembu, narangi, pudina, itrdana. 8⃣ Itrfarosh ki dukaan par iss garaz se baithna ki khushbu se dimaag mua'ttar hoga. 9⃣ Sar ya muñh par patti bandhna. 🔟 Gilaaf e Kaaba ke andar iss tarah dakhil hona ki Gilaaf Shareef sar ya muñh se lage. 1⃣1⃣ Naak wagaira muñh ka koi hissa kapde se chupana. 1⃣2⃣ Koi aisi cheez khana peena jisme khushbu padi ho aur na woh pakayi gayi ho na mahek khatm ho gayi ho. 1⃣3⃣ Bina sila kapda rafu kiya huwa y...

YEH BAATEIN EHRAAM MEIN JAAIZ HAI.1⃣5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 15* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ YEH BAATEIN EHRAAM MEIN JAAIZ HAI.* 2⃣3⃣ Jis jaanwar ko gair muhrim ne shikaar kiya aur kisi muhrim ne uske shikaar ya zibaah mein kisi tarah ki madad na ki ho uska khaana iss shartoñ ke saath ki woh jaanwar na haram ka ho na haram mein zibaah kiya gaya ho. 2⃣4⃣ Khaane ke liye machli ka shikaar karna. 2⃣5⃣ Dawa ke liye kisi daryaayi jaanwar ka marna, dawa ya giza ke liye na ho sirf dil behlaane ke liye ho jiss tarah logoñ mein raeej hai toh shikaar dariya ka ho ya jungle ka khud hi haraam hai aur ehraam mein aur sakht haraam. 2⃣6⃣ Haram mein bahar ki ghaas ukhadna ya darakht kaatna, cheel, kawwa chuha girgit chipkali saanp bicchoo khatmal macchar pissu makkhi wagaira khabees wa moozi ( takleef dene wale ) jaanwaron ka maarna agarche haram mein ho. 2⃣7⃣ muñh aur sar ki siwa kisi aur cheez aur jagah zakhm par patti bandhna. 2⃣8⃣ Sar ya gaal ke neeche takiy...

YEH BAATEIN EHRAAM MEIN JAAIZ HAI.1⃣4⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 14* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ YEH BAATEIN EHRAAM MEIN JAAIZ HAI.* 1⃣ Angrakha, kurta chugha late kar upar se iss tarah dol lena ki sar aur muñh na chupe inn cheezoñ ya pajama ka tehband bandh lena. 2⃣ Chadar ke anchaloñ ko tehband mein daalna. 3⃣ Himyaani yaani woh theli ki tarah patti jisme rupya-paisa rakhkar safar ki halat mein kamar se baandh lete hai ya sirf patti bandhna ya hathiyar bandhna. 4⃣ Bemail chudaye lote wagaira se nahana. 5⃣ Paani mein gauta lagana. 6⃣ Kapde dhona jabh ki joo maarne ki garaz se nahi. 7⃣ Miswak karna. 8⃣ Kisi cheez ke saaye mein baithna. 9⃣ Angoothi pahenna. 🔟 Be khushboo ka surma lagana. 1⃣1⃣ Daadh ukhadna. 1⃣2⃣ Toote huwe nakhun ka juda karna. 1⃣3⃣ Dumbal ( phoda ) ya phunsi todd dena. 1⃣4⃣ Khatna karna. 1⃣5⃣ Fasd kholna yaani khoon nikalwana ya nikalna. 1⃣6⃣ Bagair baal munde pachne karana. 1⃣7⃣ Aankh mein jo baal nikle usey juda karna. 1⃣8⃣ Sar ya bad...

WOH BAATEIN JO EHRAAM MEIN HARAAM HAI 1⃣3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 13* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ WOH BAATEIN JO EHRAAM MEIN HARAAM HAI.* 2⃣6⃣ Aisi khushbu ka anchal mein bandhna jisme filhaal mahek ho jaise mushk ambar zaafraan. 2⃣7⃣ Sar ya daadhi ko khatmi ya kisi khushbudar aisi cheez se dhona jisse jueiñ mar jaaye. 2⃣8⃣ Wasma ( ek tarah rang jo neel ke patton se banaya jaata hai ) ya mehendi ka khizaab lagana. 2⃣9⃣ Gaund wagaira se baal jamana. 3⃣0⃣ Zaitoon ya til ka tel agarche be khushbu ho baalon ya badan mein lagana. 3⃣1⃣ kisi ka sar mundna agarche uska ehraam na ho. 3⃣2⃣ Joo maarna. 3⃣3⃣ Joo phenkna, kisi ko joo marne ka ishara karna kapda uske maarne ko dhona ya dhoop mein daalna. 3⃣4⃣ Baaloñ mein para wagaira uske maarne ko lagana garaz joo ke maar daalne par kisi tarah ki madad karna ya karana. https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

WOH BAATEIN JO EHRAAM MEIN HARAAM HAI 1⃣2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 12* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ WOH BAATEIN JO EHRAAM MEIN HARAAM HAI.* 1⃣6⃣ Shikaar ka gosht ya ande pakaana ya bhunna bechna khareedna khaana. 1⃣7⃣ Apne ya doosre ke nakhoon katarna ya doosre se apne katarwana. 1⃣8⃣ Sar se paav tak se koi baal kisi tarah alag karna. 1⃣9⃣ Muñh ya sar kisi kapde wagaira se chupaana. 2⃣0⃣ Basta ya kapde ki potli ya gathri sar par rakhna. 2⃣1⃣ Imaama bandhna. 2⃣2⃣ Sila kapda pahenna 2⃣3⃣ Khushboo baaloñ ya badan ya kapdoñ mein lagana. 2⃣4⃣ Mallagiri ya kusum ya zaafraan garaz kisi khushbu ke rang kapde pahenna jabki abhi khushbu de rahe ho. 2⃣5⃣ khalis khushbu mushk, ambar, zaafraan, javitri, laung, ilaichi, daarchini, saundh wagaira khaana. https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

WOH BAATEIN JO EHRAAM MEIN HARAAM HAI 1⃣1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 11* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *⏩ WOH BAATEIN JO EHRAAM MEIN HARAAM HAI.* 1⃣ Aurat se sohbat. 2⃣ Bosa yaani choomna. 3⃣ Masaas yaani gaodh mein lena. 4⃣ Gale lagana. 5⃣ Uski sharmgaah par nazar karna jabh ki yeh saari upar batayi huwi baatein shahwat ke saath ho. 6⃣ Aurat ke saamne jima'aa aur bosa wagaira ka naam lena. 7⃣ Fuhush yaani behuda bakwaas. 8⃣ Gunaah hamesha haraam the abh aur sakht haraam hogaye. 9⃣ Kisi se dunyawi ladayi jhagda. 🔟 Jungle ka shikar khud karna. 1⃣1⃣ Jungle se shikaar ki taraf shikaar karne ka ishara karna ya kisi tarah batana. 1⃣2⃣ Bandook ya barood ya uske zibaah karne ki churi dena. 1⃣3⃣ Shikaar ke ande todhna. 1⃣4⃣ Par ukhadna paav ya bazu todna. 1⃣5⃣ Shikaar ka doodh dhona. *To Be Contd...* https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

HAJJ KA BAYAAN 1⃣0⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 10* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *✏️ HAJJ KA BAYAAN* 1⃣ Hajj teen tarah ka hota hai ek yeh ki neera hajj kare isse Ifraad kehte hai aur haji ko Mufrid. 2⃣ Doosra yeh ki yahañ se neere umrah ki niyyat kare Makkah Muazzama mein hajj ka ehraam baandhe ise Tamatto kehte hai aur haji ko Mutamatte. 3⃣ Teesra yeh ki Hajj wa Umrah dono ki yahi se niyyat kare aur yeh sabse afzal hai isse Qiraan kehte hai aur haji ko Qaarin kehte hai. https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

HAJJ KI SUNNATEIÑ9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 09* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *✏️ HAJJ KI SUNNATEIÑ* 8⃣ Aañthvi (8) ko fajr ke baad Makkah se ravana hona ki meena mein paanch (5) namazein parh li jaaye. 9⃣ Navvi (9) raat meena mein guzaarna. 🔟 Aaftaab nikalne ke baad meena se arafat ko ravana hona. 1⃣1⃣ Wuqoof e Arfah ke liye gusl karna. 1⃣2⃣ Arafat se waapsi mein muzdalifa mein raat ko rehna. 1⃣3⃣ Aaftaab nikalne se pehle yahañ se mina ko chala jaana. 1⃣4⃣ Dus aur gyarah ke baad jo dono raatein hai unki unko meena mein guzarna aur agar terveeh (13) ke din bhi rehna ho toh (12) ke din ke baad 13vi raat bhi wahi rahe. 1⃣5⃣ Abtaah yaani wadi e muhassab agarche thodi deir ke liye ho aur inke alawa aur bhi sunnatein hai jinka zikr beech beech mein ayega aur Hajj ke mustahabat aur makroohat ka bayan bhi mauke mauke se aaega. https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

HAJJ KI SUNNATEIÑ 8⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 08* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *✏️ HAJJ KI SUNNATEIÑ* 1⃣ Tawaafe Qudoom yaani meqaat se aane wale Makkah Muazzama mein hazir ho kar sabse pehle jo tawaaf kare usse Tawaaf e Qudoom (pehla tawaaf) kehte hai, Tawaaf e Qudoom mufrid aur qaraareen ke liye sunnat hai mutamatte ke liye nahi. 2⃣ Tawaaf ka hajre aswad se shuru karna. 3⃣ Tawaaf e Qudoom ya Tawaaf e Farz mein ramal karna yaani akad kar chalna. 4⃣ Safah wa Marwah ke darmiyan jo do sabz meel hai yaani hare rang ke nishaan hai unke darmiyan daudna. 5⃣ Imaam ka makkah mein saatvi (7) ko hona. 6⃣ Aur arafat mein navvi ko (9) ko hona. 7⃣ Aur meena mein gyarveeh (11) ko khutba padhna. https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Hajj Ke Wajibaat7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 07* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* _*✏️ HAJJ KE WAJIBAAT*_ *(Post 6#07)* 8⃣ Muzdalifa mein thehairna. 9⃣ Maghrib wa Isha ki namaz waqte isha mein Muzdalifa mein aakar padhna. 🔟 Teeno jamron par dasvi,gyarvi,baarvi teeno din kankariyan maarna yaani dasvi ko sirf jamartul aqba par aur gyarvi, baarvi ko teenon par rami karna yaani kankariyan maarna. 1⃣1⃣ Jamartul aqba ki rami pehle din halq yaani sar ke baal mundaane se pehle hona. 1⃣2⃣ Har roz ki rami ka ussi din hona. 1⃣3⃣ Sar mundaana ya baal katarwana. 1⃣4⃣ Aur uska ayyame nahar yaani qurbani ke dinon mein hona. 1⃣5⃣ Haram shareef mein hona agarche meena mein na ho. 1⃣6⃣ Qiraan wa tamatto wale ko qurbani karna. https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Hajj Ke Wajibaat6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 06* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* _*✏️ Hajj Ke Wajibaat*_ 1⃣ Meqaat se ehraam bandhna yaani meqaat se bagair ehraam na guzarna aur agar meqaat se pehle hi ehraam baandh liya toh jaaiz hai. 2⃣ Safah wa Marwah ke darmiyan daudna isko sa'ee kehte hai. 3⃣ Sa'ee ko safah se shuru karna, aur agar marwah se shuru ki toh phera (round) shumar na kiya jaaye uska iaa'da kare yaani dobara kare. 4⃣ Agar uzr na ho toh paidal sa'ee karna, sa'ee ka tawaaf ke aksar phere ke baad yaani kam az kam chaar (4) pheroñ ke baad hona. 5⃣ Din mein Wuqoof kiya toh itni deir tak Wuqoof kare ki aaftaab doob jaaye khwah aaftaab dhalte hi shuru kiya ho ya baad mein gharaz suraj ke doobne tak wuqoof mein mashgool rahe aur agar raat mein wuqoof kiya toh iske liye kisi khaas had tak wuqoof karna wajib nahi magar woh iss wajib ka taarik (chordhne wala) huwa ki din mein guroob tak Wuqoof karta. 6⃣ Wuqoof mein raat...

Hajj ke Faraiz 5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 05* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *_✏️Hajj ke Faraiz_* 1⃣ Ehraam ki yeh shart hai. 2⃣ Wuqoofe Arfa yaani navvi (9th) zill hijjah ke aaftaab dhalne (yahan aftaab dhalne se muraad zawal ka waqt hai)se dasvi (10th) ki subah sadiq se pehle tak kisi waqt arafat mein theherna. 3⃣ Tawaafe ziyarat ka aksar hissa yaani chaar phere pichli dono cheezein yaani Wuqoof wa tawaaf rukn hai. 4⃣ Niyyat. 5⃣ Tarteeb yaani pehle ehraam baandhna phir wuqoof phir tawaaf. 6⃣ Har farz ka apne waqt par hona yaani wuqoof uss waqt hona jo zikr huwa uske baad tawaaf iska Wuqoof ke baad se aakhir umr (age) tak hai. 7⃣ Makaan yaani wuqoof zameen e arafat mein hona siwa batane urna ke (batane urna maidane arafat mein ya uske kareeb ek jagah hai usko chordh kar arafat mein jahañ chahe thehre) aur tawaaf ka makaan Masjid e Haram Shareef hai. *📚Durre Mukhtar* *📚Raddul Mohtar* https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jei...

Haj ke wajib hone ke shara'it_ 4⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 04* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* *_✏️Haj ke wajib hone ke shara'it_* 7⃣ Safar - Kharch ka maalik ho aur sawaari par qadir ho khwah sawaari uski milkh ho ya uske paas itna maal ho ki kiraye par le sake. *Masla* - Safar, kharch aur sawaari par qadir hone ke yeh ma'na hai ki yeh cheezeiñ uski haajat se fazil (zyada) ho yaani makaan wa libaas wa khadim aur sawaari ka jaanwar aur peshe ke auzaar aur khaanadaari ke samaan aur dein (qarz) se itna zaayid ho ki sawaari par Makkah Muazzama jaaye aur wahañ se sawaari par wapas aaye aur jaane se waapsi tak ayaal (baal-bacche) ka nafqa aur makaan ki marammat ke liye kaafi maal chordh jaaye aur jaane aane mein apne nafqa aur ghar ayaal ke nafqe mein darmiyaani miqdaar ka aitbaar hai na kami ho na israaf (fuzoolkharchi) ayaal se muraad woh log hai jinka nafqa uss par wajib hai yeh zaroori nahi ki aane ke baad bhi wahañ aur yahañ ke kharch ke baad kuch...

Haj ke wajib hone ke shara'it_3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 03* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* _✏️ Haj ke wajib hone ke shara'it_ 5⃣ Aazad hona - Baandi gulam par hajj farz nahi agarche mudabbir ya mukatib ya ummein walad ho, agarche unke maalik ne hajj karne ki ijazat di ho agarche yeh makkah hi mein ho. *Masla* - Gulam ne apne maula ke saath hajj kiya toh yeh Hajj e Nafl huwa Hajjatul Islam na huwa. Aazad hone ke baad agar shara'it paaye jaaeñge toh phir karna hoga aur agar maula ke saath jaata tha raaste mein usey aazad kar diya toh agar ehraam baandh kar hajj kiya toh Hajjatul Islam ada hogaya aur ehraam baañdhne ke baad huwa toh Hajjatul Islam na hoga agarche naya ehraam baandh kar hajj kiya ho. *📚 Alamgiri* 6⃣ Tandrust - Tandrust ho ki hajj ko jaa sake a'azaa salaamat ho, ankhiyara ho, apahij aur phalij wale aur jiske paav katey ho aur budhe par ki sawaari par khud na baith sakta ho hajj farz nahi, yuñhi andhe par bhi wajib nahi agarch...

Haj ke wajib hone ke shara'it_2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 02* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* _✏️Haj ke wajib hone ke shara'it_ 3⃣ Baaligh hona - Naabaligh ne hajj kiya yaani apne aap jabh ki samajhdaar ho ya uske wali ne us ki taraf se ehraam baandha ho jabh ki nasamajh ho ya baher haal woh Hajj e Nafl huwa Hajjat ul Islaam yaani Hajj e Farz ki jagah nahi ho sakta. *Masla* - Naabaligh ne hajj ka ehraam bandha aur arfat mein teherna se peshtar (pehle) baligh hogaya toh agar ussi pehle ehraam par raha toh Hajj e Nafl huwa Hajjat ul Islaam na huwa aur agar sire se ehraam baandh kar Wuqoof e Arfah kiya toh Hajjat ul Islam huwa. *📚 Alamgiri, Safah 140* 4⃣ Aaqil hona - Majnoon par farz nahi. Pagal tha aur Wuqoof e Arfah se pehle pagal pan jaata raha aur naya ehraam bandh kar hajj kiya toh woh haj Hajjatul Islaam hogaya warna nahi, bohra yaani bohet zyada bewakoof majnoon ke hukm mein hai. *📚 Alamgiri, Raddul Mohtaar* *Masla* - Hajj karne ke baad maj...

Haj ke wajib hone ke shara'it_1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 Safar e Hajj 🥀*  *POST 01* *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* _✏️ Haj ke wajib hone ke shara'it_ 1⃣ Islam - Lihaaza agar musalman hone se pehle istita'at thi phir fakeer hogaya toh islam laane ke baad haj farz na hoga ki istita'at thi uska ahal na tha aur abh ki ahal huwa istita'at nahi aur musalman ko agar istita'at thi aur haj na kiya tha abh fakeer hogaya toh abh bhi farz hai. *📚 Durre Mukhtar, Raddul Mohtar, Safah 141* Masla- Haj karne ke baad Ma'azAllah murtad hogaya phir islam laya toh agar istita'at ho toh phir haj karna farz hai ki murtad hone se haj wagaira sab Aamaal baatil hogaye. *📚 Alamgiri* Yuñhi agar haj karte mein murtad hogaya toh ehraam baatil hogaya aur agar kaafir ne ehraam baandha tha phir islaam laya agar phir se ehraam baandha aur haj kiya toh hogaya warna nahi. 2⃣ Darul harb mein ho toh woh bhi zaroori hai ki jaanta ho ki islaam ke faraaiz mein haj hai lehaaza jis w...

🥀 QURBAANI 🥀POST 2⃣5⃣🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

QURBAANI k jaanwar..Yaa koi bhi HALAAL jaanwar ki Wo chiizein K..Kuch HARAAM Kuch MAMNU Kuch MAKRUH hain..Un ki tafsiil ( detail ). 2⃣5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* *🚨LAST* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *QURBAANI k jaanwar..Yaa koi bhi HALAAL jaanwar ki Wo chiizein K..Kuch HARAAM Kuch MAMNU Kuch MAKRUH hain..Un ki tafsiil ( detail ).* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  ★ Pitta.  ★ Aantein.  ★ Ghadood.  ★ Nutfa ( mani ).  ★ Ojhdi ( hojdi ).  ★ Haraam Maghaz.  ★ Ragon ka khoon.  ★ Baide ( kapoore ).  ★ Pukhna..Mashaana.  ★ Paakhaane ka maqaam.  ★ Naaki ki ratubat ( riinth )  ★ Maadah-Nar hone ki nishani.  ★ Jigar..Kaleji..Tilli..Dil ka khoon.  ★ Pit..Wo piila paani jo pitte mein       hota hai.  ★ Gardan k 2 putthe jo shaano tak       khinche hote hai.  ★ Gosht ka khoon Jo zabah hone k       baad nikalta hai.  ★ Wo nutfa jo khoon ho gaya ho.  ★ Wo nutfa Jo gosht ka lothda ho       gaya ho.  ★ Wo nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.       { Agl...

KUCH AQIQEH K BAARE MEIN 2⃣4⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       KUCH AQIQEH K BAARE MEIN ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 2⃣4  ★ Aqiqeh ka waqt shariyat mein 7 waan din hai..Agr bachcha 7 din ko hone se pehle hi guzar ( mar jaye ) jaaye To Ab aqiqe ki haajat nahi..Aur Jo mar jaaye chaahe kisi bhi umar ( age ) ka ho Uska Aqiqah nai ho sakta.  ★ Aqiqeh ka waqt 7 wen din se shuru hota hai..sunnat O afzal yahi hai..Lekin agar kisi ne 1 din k bachche ka bhi aqiqah kar diya to aqiqah ho jaayega.  ★ Hazrate Buraidah se riwayat hai k..Jahalat k daur mein jab jab bachcha paida hota to bakri ka khoon bachche k sar par lagaate..Jab islaam ka zamana aaya to bakri zabah karte bachche ka sar mudaate or sar par zaafraan lagaate.( saffron )( mafhum )  ★ Zaafraan paani mein bhigaa dein..Jab narm ho jaaye to use achchi tarah masal dein or bachche k munde huwe sar par lagaa dein.  ★ Agar aqiqah 7 wein din na kar sake to koi gunah nahi..Aqiqah 7 wein din sunnat o afzal hai..warna 14 wein din....

KUCH AQIQEH K BAARE MEIN 2⃣3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       KUCH AQIQEH K BAARE MEIN ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 2⃣3  ★ Aqiqah farz yaa waajib nai hai..Sirf sunnate mus-tahab-bah hai..Na kiya to gunah nai hai Or Ghariib k liye bilkul jaaiz nahi k vyaaj-sood-intrest se qarzaa..dewa..le kar aqiqah kare.  ★ Jo bachcha 7 din ka ho gaya Or uska aqiqah na kiya Or koi sharai majburi bhi nai thi to..Wo bachcha apne maa-baap ki shafaa-at nai karega..K..  ★ Mafhume hadiis hai K..Ladka apne aqiqeh mein Girwi hai..Matlab..Mufti Amjad Ali aazmi farmate hai..K..Iska matlab ye hai k us bachche se poora fayda na milega jab tak aqiqah na kiya jaaye..Or..  ★ Kuch Muhaddisiin kehte hain K..Bachche ki salaamti or bachche ka fulna-falna ( parwarish ) Or us mein achchi khubiyan na aayegi agar aqiqah na kiya.  ★ Jiska aqiqah na huwa ho Wo Jawaani yaa Budhaape mein bhi apna aqiqah kar sakta hai..K Aaqa..alayhis-salaam..ne khud apna aqiqah ae-laane Nubuw-wat k baad kiya. ISLAAMI ZIN...

AQIQE me kitne jaanwar hon.2⃣2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖     AQIQE me kitne jaanwar hon..? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 22      ■ Ladke k liye 2       ■ Ladki k liye 1   ★ Siyedy sarkaare AalaHazrat..alyhir rehman..farmate hai..K..Dono k liye kam se kam 1 janwar to hai hi or Bete k liye 2 ho to afzal hai..taaqat na ho to 1 bhi kaafi hai.  ★ Aqiqe ka jaanwar bhi aysa hi ho jaysa Qurbaani k janwar hota hai..Be-aib saal bhar ka ho agar bakra ho Or 2 saal ko ho agar gaay ho.  ★ Agar gaay hai to us mein Qurbaani ki tarah 7 aqiqe ho sakte hai.  ★ Aik hi jaanwar mein Qurbaani or aqiqe dono saath mein bhi ho sakte hai ( 7 hisse ) FATAWA RAZWIYAH 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI...k masaail...JAANWAR ki umar mein SHAK ho2⃣1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  QURBAANI...k masaail...JAANWAR               ki umar mein SHAK ho ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 2⃣1  ★ Saal bhar se kam ki bakre ki Qurbaani ya aqiqah nahi ho sakta..Or agar shak ho to wo bhi aysa hi hai jayse saal bhar ka nahi hai.( matlab yaqiin ho k 1 saal ka hi hai )  ★ Jaanwar bechne waale ka kehna kaafi nahi..K bikne mein uska profit..nafa hai..isliye zaruri nahi k wo ( duniya daar jisko diin O aakhirat ka koi shu-oor O parwah nahi-to jhoot bhi bol sakta hai ) sach hi bole. FATAWA RAZWIYAH Jild 20 safa 583-84  ★ Agar 1 saal ka bakra jo daant todta hai wo daant tode hai to ho jayegi..Or..  ★ Agar daant nahi tode to nahi hogi..Kasaai yaa jo janwaron k maahir or bharose k log hon unko dikha dein. BAHARE SHARIYAT 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki Wo chiizein jo nahi khaani chahiye Aaj kal be khabri mein pakaayi O khaayi jaati hai Un chizon ki tafsil2⃣0⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki  Wo chiizein jo nahi khaani chahiye      Aaj kal be khabri mein pakaayi  O khaayi jaati hai Un chizon ki tafsil ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 2⃣0 ▪KHOON  ★ Zabah k waqt jo khoon nikalta hai usko..dame-masfuh..kehte hai..Ye naapaak hota hai iska khaana haraam hai.  ★ Zabah k baad jo khoon gosht mein reh jaata hai..Jaise gardan k kate huwe hisse par..Dil k andar..Kaleji or Tilli mein or Gosht k andar ki chhoti chhoti ragon mein..       Ye sab naapaak to nahi magar is khoon ka bhi khaanaa mamnu ( nai khaa sakte ) hai..isliye pakaane se pehle khoob achchi tarah safaai kar lein.  ★ Pakne k baad wo ragein kaali dori ki tarah ho jaati hain..Khaas kar Bheje..Sirri..Paaye or Murghi ki raan or Par k gosht mein baarik kaali doriyan dekhi jaati hai..khaate waqt inko nikaal dein..Murghi ka Dil bhi poora ( bina kaate ) na pakaayein..Lambaai mein 4 chiire kar k iska khoon saaf...

QURBAANI k jaanwar..Yaa koi bhi HALAAL jaanwar ki Wo chiizein K..Kuch HARAAM Kuch MAMNU Kuch MAKRUH hain..Un ki tafsiil ( detail ). 1⃣9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ QURBAANI k jaanwar..Yaa koi bhi HALAAL jaanwar ki Wo chiizein K..Kuch HARAAM Kuch MAMNU Kuch MAKRUH hain..Un ki tafsiil ( detail ). ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 19  ★ Pitta.  ★ Aantein.  ★ Ghadood.  ★ Nutfa ( mani ).  ★ Ojhdi ( hojdi ).  ★ Haraam Maghaz.  ★ Ragon ka khoon.  ★ Baide ( kapoore ).  ★ Pukhna..Mashaana.  ★ Paakhaane ka maqaam.  ★ Naaki ki ratubat ( riinth )  ★ Maadah-Nar hone ki nishani.  ★ Jigar..Kaleji..Tilli..Dil ka khoon.  ★ Pit..Wo piila paani jo pitte mein       hota hai.  ★ Gardan k 2 putthe jo shaano tak       khinche hote hai.  ★ Gosht ka khoon Jo zabah hone k       baad nikalta hai.  ★ Wo nutfa jo khoon ho gaya ho.  ★ Wo nutfa Jo gosht ka lothda ho       gaya ho.  ★ Wo nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.       { Agle mes...

QURBAANI hissewali ka gosht kaise taqsim karna hai.1⃣8⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ QURBAANI hissewali ka gosht kaise                 taqsim karna hai...? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 18  ★ Agar hissewaali Qurbaani kii..to zaruri hai k gosht wazan kar k 7 hisse alag alag kiye jaayein..Andaaze se taqsiim karna jaaiz nahi Or agar andaaze se hisse kiye to gunah-gaar honge.  ★ Ba-khushi aik dusre ko kam zyaada maaf kar dena bhi kaafi nahi..Agar Sab aik hi ghar mein rehte hain k mil..baant kar hi khaayenge..Sab hisse-daar apna apna hissa lena nahi chaahte to aysi surat mein wazan karne ki zarurat nai. BAHARE SHARIYAT ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  QURBAANI...hissewali k hisse alag            karne k 2 HIILE...K Tariqe.. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪ PEHLA..Tariqa..Zabah k baad us janwar ( Uunt..Gaay..Bhens ) ka saara gosht aik ayse baaligh musalman ko hiba kar dein ( maalik bana dein ) jo unki Qurbaani mein sharik ( shamil ) na ho..Or..       Ab Wo ( jisko hiba kiya gaya ha...

HISSE WAALI QURBAANI K BARE ME 1⃣7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ HISSE WAALI QURBAANI K BARE ME ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 1⃣7  ★ Hisse waali Qurbaani mein hissa lenewale tamaam 7 log ahle sunnat wa-jamaat hon..7 hisse mein se aik bhi koi bad aqidah k Jiski bad-aqiidgi hadde kufr tak pohnch chuki ho..Wo...Ya koi bhi..Jo ahle-sunnat k aqidon ko ghalat kehnewala ho..Agar shaamil ho gaya to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.  ★ Hisse waali Qurbaani mein sab ki niyyat Allah ki raza ho..Agar kisi aik ki bhi niyyat gosht haasil karna hogi to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.  ★ Hisse waali qurbaani k jaanwar ko khud bhi apni aankhon se dekh le k 2 saal se kam umar ka na ho..Agar 2 saal se aik din bhi kam umar hoga to Qurbaani na hogi.  ★ Qurbaani ki Gaay ( cow ) bhens ( buffallo ) yaa Uunt ( camel ) mein aqiqe ka hissa bhi daala ja sakta hai. QAANUNE SHARIYAT BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBANI k janwar par zulm na kare 1⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ QURBANI k janwar par zulm na kare ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 1⃣6  ★ Zabah karne k baad jab tak jaanwar thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza ( body parts ) alag karne ki Ujlat..Utaawal..na karein.  ★ Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..ne jahannam mein aik awrat ko is haal mein dekha k..Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai..Use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya mein us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi..        Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq mein aam hai.  ★ Aik baar hamare Aaqa..sallallahu alyhi wasallam..Aik aadmi k paas se guzre..Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi.. Aaqa ne irsaad farmaya..        Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?..Kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?..Ise litaane se pehle apni chhuri tez k...

QURBAANI ka Chamda...Jhol.. Rassi..In chizon ka kya kare1⃣5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖      QURBAANI ka Chamda...Jhol..      Rassi..In chizon ka kya kare..? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  🅾 1⃣5  ★ Chamda..Jhol..Rassi..In sab ko sadqa kar dein..Chamde ko apne kaam mein bhi le sakte hai..Jaise Dol..Jaa-Namaaz..Bichona..bana sakte hai..Lekin bech kar uski qiimat apne kaam mein lana jaaiz nahi..         Agar bech diya to us qiimat ko sadqa kar dena waajib hai.  ★ Chamda madarse mein dena jaaiz hai..Or agar madarse mein dene ki niyyat se chamda bech kar qiimat madarse mein de dein to ye bhi jaaiz hai.  ★ Qurbaani ka gosht ya chamda kasaaii ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori mein nahi de sakte Or ujrat ( badle ) mein bhi nai de sakte. AALAMGIIRI BAHARE SHARIYAT DURRE MUKHTAAR RADDUL MOHTAAR QANUNE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBANI k gosht k hisse kayse kare1⃣4⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ QURBANI k gosht k hisse kayse kare ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 1⃣4  ★ Qurbaani k gosht k 3 hisse kare.  ★ 1 hissa faqiiron ko de dein.  ★ 1 hissa doston or rishte daron ko  ★ 1 hissa apne ghar walon k liye.  ★ Agar ghar waale zyada hon to kul ka kul ( saara gosht ) ghar mein rakh sakta hai..kul gosht sadqa bhi kar sakta hai.  ★ Agar maiyat ki taraf se Qurbaani kii..To us gosht ka bhi yahi hukm hai jaise oopar bataaya gaya..Or..        Agar maiyat ne kaha tha k meri taraf se Qurbaani kar dena to aysi surat mein kul gosht sadqa kar de.  ★ Qurbaani agar maiyat ki hai to uska gosht na khud kha sakta hai na maaldaar ko khila sakta hai bal k usko faqir o miskin ko sadqa kar dena waajib hai.  ★ Qurbaani ka gosht kafir ko na de.  ★ Qurbani karnewala bakraa Eid k din sabse pehle Qurbaani ka gosht khaaye..Ye mustahab hai. BAHARE SHARIYA ABLAQ GHODE DUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZ...

QURBAANI zabah karne me konsi or kitni ragein kaatni hai.1⃣3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖   QURBAANI zabah karne me konsi          or kitni ragein kaatni hai...? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 1⃣3  ★ Allama Mufti Amjad Ali..alayhirrahmaan..farmate hai...        Jo ragein zabah mein kaati jaati hain wo 4 hai..  ★ HULQUM..Ye wo hai jis mein se saans ( breathing ) aati jaati hai..  ★ MURI..Isse khaana paani utarta hai..In dono k aas paas 2 ragein aur hai..Jo khoon ki hai..  ★ In ragon ko WA DA JAIN kehte hai..Zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai..Matlab agar 3 bhi kat gayi to jaanwar halaal ho jayega..Or..       Agar 4 me se har aik rag zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega..Or..Agar..       Aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi. BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

DUSRE SE QURBANI karwane mein 1⃣2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  DUSRE SE QURBANI karwane mein ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 1⃣2  ★ Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho..Or agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de..lekin khud bhi haazir rahe..Ye behtar hai.  ★ Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko.. Bismillah..kehna WAAJIB hai.       Agar dono mese aik ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padh lii hogi muje padhne ki zarurat nahi..To in dono surton mein jaanwar HALAAL na huwa. AALAMGIIRI DURRE MUKHTAAR ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

SING KA MASLA-PET ME BACHCHA 1⃣1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ SING KA MASLA-PET ME BACHCHA ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 11  ★ Jis jaanwar k paidaaishi siing na ho uski Qurbaani jaaiz hai..Or siing the..Magar toot gaye..Agar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi Or sirf oopar se toote hai..Jad salaamat hai to qurbaani ho jayegi.  ★ Qurbaani karte waqt jaanwar uchhlaa koodaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi.        Or uchhal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi.  ★ Qurbaani kii..Or us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai..        Or agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai..Qurbaani ho gayi. AALAMGIIRI DURRE MUKHTAAR BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI k aibdaar ( defected ) jaanwaron ki tafsiil..jinki Qurbaani nahi hoti.1⃣0⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖     QURBAANI k aibdaar ( defected )    jaanwaron ki tafsiil..jinki Qurbaani                        nahi hoti..!  ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 10  ★ Aisa paagal jaanwar jo charta       na ho.  ★ Itna kamzor k haddiyon mein       maghaz na raha..khada bhi       na reh pata ho.  ★ Andha ya aysa kaana jis ka       kaanaapan zaahir ho.  ★ Aysa biimaar jo bimaari ki wajah       se chaara na khaaye.  ★ Aysa langda jo khud apne pairon       se chal kar qurbaan gaah tak       na ja sake.  ★ Jis k paidaaishi kaan na hon ya       aik kaan na ho.  ★ Wah-shi yani jangli jaanwar jaise       nil gaaye.  ★ Jangli bakra ya khunsa jaanwar       matlab..aysa k jisme Nar or       Maada ...

NAAKHUN OR BAAL KATWAANA 4⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖     NAAKHUN OR BAAL KATWAANA ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 4⃣        Mafhume hadiis ▪Aaqa..sallallahu alayhi wasallam..farmate hai k..Jab baqra eid k mahine ka pehla ashrah aa jaaye ( pehle 10 din ) or..Jo koi Qurbaani karna chaahe to apne baal or khaal ko bilkul haath na lagaaye..( na kaate )  ★ Is hadis ki sharah mein Mufti Ahmed Yaarkhan Naimi..alayhir rehman..farmate hai..K..       Matlb..Jo Maaldaar ( waajib ) or Gharib ( nafl ) Qurbaani ka iraada kare wo ZULHIJJAH ka chaand dekhne se Qurbaani karne tak Naakhun..Baal..apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye ta k haajiyon ki thodi naqal ho jaaye k haaji ahraam mein hajaamat nahi kara sakte..Or..  ★ Dusri baat ye k jis qadar baal zyada or naakhun hai wo Qurbaani ka fidiya ban jaaye ( jahannam se aazaadi ka )        Ye hukm MUSTAHAB hai WAAJIB nahi..To Agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi Or aysa karne se Qurbaani ...

Qurbaani k janwar ki umar kitni honi chahiye ?★ Jaanwar kaisa hona chaahiye9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ★ Qurbaani k janwar ki umar       kitni honi chahiye ? ★ Jaanwar kaisa hona chaahiye ? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 09  ★ Qurbaani k jaanwar ki umar...        ■ Uunt..( Camel ) ...5 saal...        ■ Gaay..Bhens.......2 saal...        ■ Bakra..................1 saal...  ★ In jaanwaron ki nasal k NAR..MAADA bachche denewali na denewali sab ki Qurbaani jaaiz hai.  ★ Bakre mein Bakri..Dumba..Dumbi..Bhed...Nar..Maada..sab aa gaye. ★ Uupar bataaye huwe tamaam jaanwaron ki umar bataayi hui umar se kam umar ho to chaahe aik din bhi kam ho to Qurbaani jaaiz nahi..Zyada ho to jaaiz hai..Bl k afzal hai. BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI kise kehte hai ? ★ QURBANI ka jaanwar kaysa ho 8⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  ★ QURBAANI kise kehte hai ?  ★ QURBANI ka jaanwar kaysa ho ? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 8⃣  ★ Qurbaani aik maal se honewaali ibaadat hai jo maaldar par waajib hai.. Khaas jaanwar ko khaas din mein ALLAH k liye sawaab ki niyyat se ZABAH karna..isko Qurbaani kehte hai.  ★ Gaay..Bhens..Uunt..( Cow..Buffalo..Camel ) in jaanwaron mein 7 Qurbaani ho sakti hai.  ★ Qurbaani k waqt mein Qurbaani karna hi laazim hai..koi dusri chiiz is k badle mein nahi ho sakti..        Jaise koi Qurbaani ka bakra ya utna paisa khairaat karde..Ye naa kaafi hai..( waajib ada na hoga )  ★ Qurbaani ka jaanwar be-aib ( without any defect ) hona zaruri hai..agar thoda aib hai jaise kaan mein chiiraa ya suraakh to Qurbaani makrooh hogi or zyada aib ho to Qurbaani nahi hogi. BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI ka waqt kab se kab tak hota hai..or..★ QURBAANI k waqt me sharaait ka hona kya chiiz hai.7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ★ QURBAANI ka waqt kab se kab       tak hota hai..or.. ★ QURBAANI k waqt me sharaait       ka hona kya chiiz hai..? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 7⃣  ★ 10 Zulhijjah ki subha saadiq ( sehri khatm ka waqt ) se lekar 12 zulhijjah k ghurub aaftaab ( maghrib ki azaan tak ) tak hai..  ★ MASALA...city ( sheher ) mein Qurbaani kii jaaye to SHART ye hai k Eid ki namaaz k baad ho Or Gaanw ( village ) mein Eid ki namaaz nahi hoti isliye wahaan subha saadiq se ho sakti hai...or..       ( Jis gaanw mein Eid ki namaaz hoti ho wahan namaaz k baad Qurbaani karein )  ★ Maal or dusri shartein Qurbaani k uupar bataaye huwe waqt mein paayi gayi to Qurbaani waajib hogi..  ★ Is masle ko bayaan karte huwe Hazrat Mufti Amjad Ali Aaazmi..alayhirrehman..Bahaare shariyat mein farmate hai..k..      Ye zaruri nahi k 10 wi ko hi qurbaani kar daale..uupar bataye huwe waqt mein jab chaahe kare..Agar shuru...

WAAJIB HONE KI SHARTEIN-MAAL 6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  HAAJATE ASALIYA ka matlab kya ? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 6⃣  ★ Haajate asaliya ka matlab wo chiizein jinki aam tor par insaan ko zarurat hoti hai or jin k baghair zindagi guzaarne mein bohot zyada tangi or takliif mehsus hoti hai jaise.     ■ Rehne ka ghar.     ■ Pehenne k kapde.     ■ Sawaari.     ■ Ilme din ki kitaabein..     ■ Apne peshe ( hunar-dhande )        k awzaar..  ★ Agar ham haajate asaliya k matlab par ghor karein to..hamare gharon me bohot si chiizein aysi hai jo haajate asaliya mein daakhil nahi..to..       Agar un chiizon ki qiimat saadhe baawan ( 52.5 ) tole chaandi k baraabar pohonch jaaye to Qurbaani WAAJIB hogi. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       KHAAS DHYAAN SE PADHEIN ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪NOTE...Dostaane mohtaram..Misaal k tor par ( eg ) Yun samjo k..aaj k market rate k hisaab se 52.5 tole chaandi ki raqam 25000 rupye or oopar kuch sau ...

WAAJIB HONE KI SHARTEIN-MAAL5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  WAAJIB HONE KI SHARTEIN-MAAL ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 5⃣ ▪Qurbaani waajib hone ki shartein       Ye hai k har..  ★ Baaligh..( na baaligh na ho )  ★ Muqiim..( musaafir na ho )  ★ Musalmaan Mard O Awrat  ★ Maalike nisaab..Par Qurbaani       Waajib hai. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖   MAALIKE NISAAB KISE KEHTE HAI ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪Maalike nisaab hone ka matlab         Ye hai k..  ★ Us sakhs k paas saadhe baawan       ( 52.5 ) tole chaandi..  ★ Ya itni maaliyat ki raqam..  ★ Ya itni value ka buisnes ka maal.  ★ Ya itni value ka samaan jo hajate        asaliya k siwa ho..Or..  ★ Us par agar itna qarz bhi ho k adaa karne k baad uupar bataya gaya nisaab baaqi raheta ho..to..       Wo Maalike nisaab hai..Qurbaani       Us par waajib hai..Or..  ★ { Ye hukm 10 wi Zulhijjah ki Subha saadiq ( sehri ka w...

QURBAANI PUL-SIRAAT KI SAVAARI3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ QURBAANI PUL-SIRAAT KI SAVAARI ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 3⃣       Mafhume Hadis ▪Aaqa..sallallahu alyhi waalihi wasallam..farmate hai k..        ■ Baqra Eid k din insaan aysi koi neki nahi karta Jo Allah ko khoon bahaane se zyada ( Qurbaani karne se ) pyaari ho..        ■ Ye Qurbaani qayaamat mein apne singon baalon or khuron ( khudiyaan ) k saath aayegi..or..        ■ Qurbaani ka khoon zamin par girne se pehle Allah qubool farmata hai is liye Qurbaani khush dili se ( shoq se ) karo.  ★ Hazrat Abdul haq muhaddis dehelwi..alayhirrahman..farmate hai..k..Qurbaani apne karnewale k nekiyon k palde me rakkhi jayegi jisse nekiyon ka palda bhari hoga.  ★ Mulla Ali qari..alayhirrahman..farmate hai..k..Fir us k sawaari banegi jis k zariye Qurbaani karnewala aasaani se pul-siraat se guzrega or us ka har uzwa ( every part of body ) Qurbaani karnewale k har uzwa ka fidya banega...

QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB  ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 2⃣  ★ Agar kisi par Qurbaani waajib hai or us waqt us k paas rupye nahi to udhaar le kar ya koi chiiz bech kar k Qurbaani kare. FATAWA AMJADIYAH Jild..3..Safa..315 ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪Hazrate Ahmed bin Ishaaq..rehmatullah alah..kehte hain..k..       Mera aik gharib bhai tha..gharib tha fir bhi Allah ki raza k liye Qurbaani karta tha..Us k marne k baad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai..mene dekha k..       Mera bhai Aik ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai..Mene poocha..k Allah ki baargah me tera kya maamla raha..to wo bola k...       Aik budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya..to mene poocha k ye sab ghode ?...to kehne laga k...       Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai..to mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola...

QURBAANI KARNE KI FAZILAT1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       QURBAANI KARNE KI FAZILAT ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🅾 1⃣ ▪Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..farmate hai k..  ★ Qurbaani karnewale ko Qurbani k jaanwar k har baal k badle me aik neki milti hai...  ★ Jisne khush dili se sawab paane k liye Qurbaani ki to wo jahannam ki aag se hijaab ( parda..rukaawat ) ho jayegi.  ★ Aey Fatema..Apni Qurbaani k paas maujood raho kyun k us k khoon ka pehla qatra ( drop ) girega to tumhare saare gunah maaf kar diye jaayenge.  ★ Jis ko bhi Qurbaani karne ki wus-at ( taaqat ) ho or fir bhi wo Qurbaani na kare to hamari eid-gaah k qariib na aaye. TIRMIZI SHARIF AL MO JAMUL KABIR AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

कुर्बानी के मसाइल POST 2⃣4⃣🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

क़ुरबानी के ‎4 ‏फरमाने मुस्तफा ‎ﷺ

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 कुर्बानी के मसाइल 🥀* *👉 POST: 2️⃣4⃣* _*🔪 क़ुरबानी के 4 फरमाने मुस्तफा ﷺ*_    *01)👉 क़ुरबानी करने वाले को क़ुरबानी के जानवर के हर बाल के बदले में एक नेकी मिलती है।*  _📚 (तिर्मिज़ी शरीफ 3 /162)._  *2)👉 जिसने खुश दिली से तालिबे सवाब हो कर क़ुरबानी की, तो वो आतशे जहन्नम से हिजाब (यानी रोक) हो जाएगी।*  _📚 (अल-मोजमुल कबीर 3/84)._  *3)👉 ऐ फातिमा ! अपनी क़ुरबानी के पास मौजूद रहो क्यू कि इसके खून का पहला क़तरा गिरेगा तुम्हारे सारे गुनाह मुआफ़ कर दिये जाएंगे।*  _📚 (बहकी शरीफ 9/476)._  *4)👉 जिस शख्स में क़ुरबानी करने की वुसअत हो फिर भी वो क़ुरबानी न करे तो वो हमारी ईबादत के क़रीब न आए,,*  _📚 (इब्ने माजह 3/ हदीस 529)._        *🔚 📮 END POST 📮🔚* *🕋 🤲 Ya Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Post (SMS) Likhne Me Padne Me Jaan Bujhkar Ya Jaane Anjane Me Koi Bhi Galti Hui Ho To Muaaf Farma. 😭* *🕋 🤲 Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Hume Kahne Sune Se Jyada Amal Karne Ki Tofik De.* *💫 🤲 Aameen 🤲 💫*        👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁 ...

हज़रते अहमद बीन इस्हाक़ अलैरहमा फरमाते है 2⃣3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 कुर्बानी के मसाइल 🥀* *👉 POST: 2️⃣3️⃣* 💎 *हज़रते अहमद बीन इस्हाक़ अलैरहमा फरमाते है :* ✏️ मेरा भाई बा वुजुदे गुरबत रिज़ाएे इलाही की निय्यत से हर साल बकरा ईद में क़ुरबानी किया करता था। उस के इंतिक़ाल के बाद मैं ने एक ख्वाब देखा कि क़यामत बरपा हो गई है और लोग अपनी अपनी क़ब्रो से निकल आए है, यकायक मेरा मर्हुम भाई एक अब्लक़ (यानी दो रंगे चितकुब्रे) घोड़े पर सुवार नज़र आया, उसके साथ और भी बहुत सारे घोड़े थे। *🌺 मेने पूछा : ऐ मेरे भाई ! अल्लाह ने तेरे साथ क्या मुआमला फ़रमाया ? कहने लगा* *: अल्लाह ने मुझे बख्श दिया। पूछा : किस अमल के सबब ? कहा : एक दिन किसी गरीब बुढ़िया को ब निय्यते सवाब मैं ने एक दिरहम दिया था वही काम आ गया। पूछा : ये घोड़े कैसे है ? बोला : ये सब मेरी* *बक़रा ईद की कुर्बानिया है* *और जिस पर में सुवार हु ये मेरी सबसे पहली क़ुरबानी है। मैने पूछा : अब कहा का अज़्म है ? कहा : जन्नत का।*  🌴 ये कह कर मेरी नज़र से ओझल हो गया। अल्लाह की उन पर रहमत हो ओर उनके सदके हमरी बे हिसाब मगफिर हो,,  _*📚 (अब्लक़ घोडा पेज 1).*_           *📮 _Next Pos...

हज़रते इब्राहिम ‎عَلَيْهِ السَّلاَم ‏की क़ुर्बानी2⃣2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 कुर्बानी के मसाइल 🥀* *👉 POST: 2️⃣2️⃣*  _*🔮 हज़रते इब्राहिम عَلَيْهِ السَّلاَم की क़ुर्बानी*_  *🌺 जिब्राईल ( عَلَيْهِ السَّلاَم) जब फ़िदया ले कर आये तो ख्याल किया की इब्राहिम ( عَلَيْهِ السَّلاَم) कही जल्दी ना करदे तो आप ने पढा*   _*🤲“अल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर” 🤲*_  💦 हज़रते इब्राहिम ( عَلَيْهِ السَّلاَم) ने जब आसमान की तरफ सर उठाया तो देखा की जिब्राईल ( عَلَيْهِ السَّلاَم) फ़िदया ले रहे है तो पढा  _*🤲“लाइलाहा इलल्लाहो वल्लाहु अकबर” 🤲*_  जब हज़रते इस्माईल जबीहुल्लाह ( عَلَيْهِ السَّلاَم) ने सुना तो आपने पढ़ा  _*🤲“अल्लाहु अकबर वलिल्लाहिल हम्द” 🤲*_  *इन तीनो हज़रात के मज़्मुआ कलम को “तकबीरते तसरीक” की सूरत में ता-क़यामत नमाज़ियों पर ज़िल हज की 9 तारीख को नमाज़े फज़र से लेकर 13 तारीख की नमाज़े असर तक वाजिब कर दिया गया ताकि ये यादगार कायम रहै ।*   _📚 (जवाहेरुल सनया हास्य हिदया, जिल्द-1, साफा-245)_  *💫 सुब्हान अल्लाह। एक कौल के मुताबिक दूसरा कलाम हज़रते इस्माईल ( عَلَيْهِ السَّلاَم) और तिसरा कलाम हज़रते इब्राहिम...