संदेश

मई, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

QURBAANI POST 2⃣6⃣ 🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

KUCH AQIQEH K BAARE MEIN

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀  QURBAANI 🥀*       KUCH AQIQEH K BAARE MEIN 🅾 2⃣6⃣  ★ Aqiqeh ka waqt shariyat mein 7 waan din hai..Agr bachcha 7 din ko hone se pehle hi guzar ( mar jaye ) jaaye To Ab aqiqe ki haajat nahi..Aur Jo mar jaaye chaahe kisi bhi umar ( age ) ka ho Uska Aqiqah nai ho sakta.  ★ Aqiqeh ka waqt 7 wen din se shuru hota hai..sunnat O afzal yahi hai..Lekin agar kisi ne 1 din k bachche ka bhi aqiqah kar diya to aqiqah ho jaayega.  ★ Hazrate Buraidah se riwayat hai k..Jahalat k daur mein jab jab bachcha paida hota to bakri ka khoon bachche k sar par lagaate..Jab islaam ka zamana aaya to bakri zabah karte bachche ka sar mudaate or sar par zaafraan lagaate.( saffron )( mafhum )  ★ Zaafraan paani mein bhigaa dein..Jab narm ho jaaye to use achchi tarah masal dein or bachche k munde huwe sar par lagaa dein.  ★ Agar aqiqah 7 wein din na kar sake to koi gunah nahi..Aqiqah 7 wein din sunnat o afzal hai..warna 14 wein din..warna 21 wein di...

KUCH AQIQEH K BAARE MEIN

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*       KUCH AQIQEH K BAARE MEIN 🅾 2⃣5⃣  ★ Aqiqah farz yaa waajib nai hai..Sirf sunnate mus-tahab-bah hai..Na kiya to gunah nai hai Or Ghariib k liye bilkul jaaiz nahi k vyaaj-sood-intrest se qarzaa..dewa..le kar aqiqah kare.  ★ Jo bachcha 7 din ka ho gaya Or uska aqiqah na kiya Or koi sharai majburi bhi nai thi to..Wo bachcha apne maa-baap ki shafaa-at nai karega..K..  ★ Mafhume hadiis hai K..Ladka apne aqiqeh mein Girwi hai..Matlab..Mufti Amjad Ali aazmi farmate hai..K..Iska matlab ye hai k us bachche se poora fayda na milega jab tak aqiqah na kiya jaaye..Or..  ★ Kuch Muhaddisiin kehte hain K..Bachche ki salaamti or bachche ka fulna-falna ( parwarish ) Or us mein achchi khubiyan na aayegi agar aqiqah na kiya.  ★ Jiska aqiqah na huwa ho Wo Jawaani yaa Budhaape mein bhi apna aqiqah kar sakta hai..K Aaqa..alayhis-salaam..ne khud apna aqiqah ae-laane Nubuw-wat k baad kiya. ISLAAMI ZINDAGI BAHAARE SHARIYAT FATAWA ...

AQIQE me kitne jaanwar hon..?

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀  QURBAANI 🥀*     AQIQE me kitne jaanwar hon..? 🅾 2⃣4⃣      ■ Ladke k liye 2       ■ Ladki k liye 1   ★ Siyedy sarkaare AalaHazrat..alyhir rehman..farmate hai..K..Dono k liye kam se kam 1 janwar to hai hi or Bete k liye 2 ho to afzal hai..taaqat na ho to 1 bhi kaafi hai.  ★ Aqiqe ka jaanwar bhi aysa hi ho jaysa Qurbaani k janwar hota hai..Be-aib saal bhar ka ho agar bakra ho Or 2 saal ko ho agar gaay ho.  ★ Agar gaay hai to us mein Qurbaani ki tarah 7 aqiqe ho sakte hai.  ★ Aik hi jaanwar mein Qurbaani or aqiqe dono saath mein bhi ho sakte hai ( 7 hisse ) FATAWA RAZWIYAH 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI...k masaail...JAANWAR ki umar mein SHAK ho

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*  QURBAANI...k masaail...JAANWAR               ki umar mein SHAK ho 🅾 2⃣3⃣  ★ Saal bhar se kam ki bakre ki Qurbaani ya aqiqah nahi ho sakta..Or agar shak ho to wo bhi aysa hi hai jayse saal bhar ka nahi hai.( matlab yaqiin ho k 1 saal ka hi hai )  ★ Jaanwar bechne waale ka kehna kaafi nahi..K bikne mein uska profit..nafa hai..isliye zaruri nahi k wo ( duniya daar jisko diin O aakhirat ka koi shu-oor O parwah nahi-to jhoot bhi bol sakta hai ) sach hi bole. FATAWA RAZWIYAH Jild 20 safa 583-84  ★ Agar 1 saal ka bakra jo daant todta hai wo daant tode hai to ho jayegi..Or..  ★ Agar daant nahi tode to nahi hogi..Kasaai yaa jo janwaron k maahir or bharose k log hon unko dikha dein. 📚BAHARE SHARIYAT 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki Wo chiizein jo nahi khaani chahiye Aaj kal be khabri mein pakaayi O khaayi jaati hai Un chizon ki tafsil

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki  Wo chiizein jo nahi khaani chahiye      Aaj kal be khabri mein pakaayi  O khaayi jaati hai Un chizon ki tafsil 🅾 2⃣2⃣ ▪KHOON  ★ Zabah k waqt jo khoon nikalta hai usko..dame-masfuh..kehte hai..Ye naapaak hota hai iska khaana haraam hai.  ★ Zabah k baad jo khoon gosht mein reh jaata hai..Jaise gardan k kate huwe hisse par..Dil k andar..Kaleji or Tilli mein or Gosht k andar ki chhoti chhoti ragon mein..       Ye sab naapaak to nahi magar is khoon ka bhi khaanaa mamnu ( nai khaa sakte ) hai..isliye pakaane se pehle khoob achchi tarah safaai kar lein.  ★ Pakne k baad wo ragein kaali dori ki tarah ho jaati hain..Khaas kar Bheje..Sirri..Paaye or Murghi ki raan or Par k gosht mein baarik kaali doriyan dekhi jaati hai..khaate waqt inko nikaal dein..Murghi ka Dil bhi poora ( bina kaate ) na pakaayein..Lambaai mein 4 chiire kar k iska khoon saaf kar lein. ▪HARAAM MAGH...

QURBAANI k jaanwar..Yaa koi bhi HALAAL jaanwar ki Wo chiizein K..Kuch HARAAM Kuch MAMNU Kuch MAKRUH hain..Un ki tafsiil ( detail ).

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* QURBAANI k jaanwar..Yaa koi bhi HALAAL jaanwar ki Wo chiizein K..Kuch HARAAM Kuch MAMNU Kuch MAKRUH hain..Un ki tafsiil ( detail ). 🅾 2⃣1⃣  ★ Pitta.  ★ Aantein.  ★ Ghadood.  ★ Nutfa ( mani ).  ★ Ojhdi ( hojdi ).  ★ Haraam Maghaz.  ★ Ragon ka khoon.  ★ Baide ( kapoore ).  ★ Pukhna..Mashaana.  ★ Paakhaane ka maqaam.  ★ Naaki ki ratubat ( riinth )  ★ Maadah-Nar hone ki nishani.  ★ Jigar..Kaleji..Tilli..Dil ka khoon.  ★ Pit..Wo piila paani jo pitte mein       hota hai.  ★ Gardan k 2 putthe jo shaano tak       khinche hote hai.  ★ Gosht ka khoon Jo zabah hone k       baad nikalta hai.  ★ Wo nutfa jo khoon ho gaya ho.  ★ Wo nutfa Jo gosht ka lothda ho       gaya ho.  ★ Wo nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.       { Agle message mein in chiizon k...

QURBAANI hissewali ka gosht kaise taqsim karna hai...?

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀    QURBAANI   🥀* QURBAANI hissewali ka gosht kaise                 taqsim karna hai...? 🅾 2⃣0⃣  ★ Agar hissewaali Qurbaani kii..to zaruri hai k gosht wazan kar k 7 hisse alag alag kiye jaayein..Andaaze se taqsiim karna jaaiz nahi Or agar andaaze se hisse kiye to gunah-gaar honge.  ★ Ba-khushi aik dusre ko kam zyaada maaf kar dena bhi kaafi nahi..Agar Sab aik hi ghar mein rehte hain k mil..baant kar hi khaayenge..Sab hisse-daar apna apna hissa lena nahi chaahte to aysi surat mein wazan karne ki zarurat nai. BAHARE SHARIYAT ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  QURBAANI...hissewali k hisse alag            karne k 2 HIILE...K Tariqe.. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪ PEHLA..Tariqa..Zabah k baad us janwar ( Uunt..Gaay..Bhens ) ka saara gosht aik ayse baaligh musalman ko hiba kar dein ( maalik bana dein ) jo unki Qurbaani mein sharik ( shamil ) na ho..Or..       Ab Wo ( jisko hiba kiya gay...

HISSE WAALI QURBAANI K BARE ME

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀   QURBAANI  🥀* HISSE WAALI QURBAANI K BARE ME 🅾 1⃣9⃣  ★ Hisse waali Qurbaani mein hissa lenewale tamaam 7 log ahle sunnat wa-jamaat hon..7 hisse mein se aik bhi koi bad aqidah k Jiski bad-aqiidgi hadde kufr tak pohnch chuki ho..Wo...Ya koi bhi..Jo ahle-sunnat k aqidon ko ghalat kehnewala ho..Agar shaamil ho gaya to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.  ★ Hisse waali Qurbaani mein sab ki niyyat Allah ki raza ho..Agar kisi aik ki bhi niyyat gosht haasil karna hogi to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.  ★ Hisse waali qurbaani k jaanwar ko khud bhi apni aankhon se dekh le k 2 saal se kam umar ka na ho..Agar 2 saal se aik din bhi kam umar hoga to Qurbaani na hogi.  ★ Qurbaani ki Gaay ( cow ) bhens ( buffallo ) yaa Uunt ( camel ) mein aqiqe ka hissa bhi daala ja sakta hai. QAANUNE SHARIYAT BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBANI k janwar par zulm na kare

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* QURBANI k janwar par zulm na kare 🅾 1⃣8⃣  ★ Zabah karne k baad jab tak jaanwar thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza ( body parts ) alag karne ki Ujlat..Utaawal..na karein.  ★ Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..ne jahannam mein aik awrat ko is haal mein dekha k..Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai..Use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya mein us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi..        Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq mein aam hai.  ★ Aik baar hamare Aaqa..sallallahu alyhi wasallam..Aik aadmi k paas se guzre..Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi.. Aaqa ne irsaad farmaya..        Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?..Kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?..Ise litaane se pehle apni chhuri tez kyun na kar li..?  ...

QURBAANI ka Chamda...Jhol.. Rassi..In chizon ka kya kare

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*      QURBAANI ka Chamda...Jhol..      Rassi..In chizon ka kya kare  🅾 1⃣7⃣  ★ Chamda..Jhol..Rassi..In sab ko sadqa kar dein..Chamde ko apne kaam mein bhi le sakte hai..Jaise Dol..Jaa-Namaaz..Bichona..bana sakte hai..Lekin bech kar uski qiimat apne kaam mein lana jaaiz nahi..         Agar bech diya to us qiimat ko sadqa kar dena waajib hai.  ★ Chamda madarse mein dena jaaiz hai..Or agar madarse mein dene ki niyyat se chamda bech kar qiimat madarse mein de dein to ye bhi jaaiz hai.  ★ Qurbaani ka gosht ya chamda kasaaii ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori mein nahi de sakte Or ujrat ( badle ) mein bhi nai de sakte. AALAMGIIRI BAHARE SHARIYAT DURRE MUKHTAAR RADDUL MOHTAAR QANUNE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBANI k gosht k hisse kayse kare

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* QURBANI k gosht k hisse kayse kare 🅾 1⃣6⃣  ★ Qurbaani k gosht k 3 hisse kare.  ★ 1 hissa faqiiron ko de dein.  ★ 1 hissa doston or rishte daron ko  ★ 1 hissa apne ghar walon k liye.  ★ Agar ghar waale zyada hon to kul ka kul ( saara gosht ) ghar mein rakh sakta hai..kul gosht sadqa bhi kar sakta hai.  ★ Agar maiyat ki taraf se Qurbaani kii..To us gosht ka bhi yahi hukm hai jaise oopar bataaya gaya..Or..        Agar maiyat ne kaha tha k meri taraf se Qurbaani kar dena to aysi surat mein kul gosht sadqa kar de.  ★ Qurbaani agar maiyat ki hai to uska gosht na khud kha sakta hai na maaldaar ko khila sakta hai bal k usko faqir o miskin ko sadqa kar dena waajib hai.  ★ Qurbaani ka gosht kafir ko na de.  ★ Qurbani karnewala bakraa Eid k din sabse pehle Qurbaani ka gosht khaaye..Ye mustahab hai. BAHARE SHARIYA ABLAQ GHODE DUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

JAANWAR ZABAH karne ka tariqa

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*   JAANWAR ZABAH karne ka tariqa 🅾 1⃣5⃣  ★ Sunnat ye chali aa rahi hai k zabah karne waala or jaanwar dono ka rukh qible ki taraf hon..India mein qibla maghrib ( west ) me hai..  ★ Isliye jaanwar ka sar junub ( south ) ki taraf hona chahiye ta k jaanwar ulte ( left ) pehlu letaa ho Ir uski peeth mashriq ( east ) ki taraf ho ta k uska munh qible ki taraf ho jaye..Or..  ★ Zabah karne waala apna siidha ( right ) pair jaanwar ki gardan k siidhe hisse yani gardan k qarib pehlu par rakkhe Or dua padhe..fir.. Bismillah AllahuAkbar..padh kar zabah kare..  ★ Khud apna ya jaanwar ka munh qible ki taraf na kiya to makruh hai.( qurbani ho jayegi..jaanwar halaal ho jayega ) FATAWA RAZWIYA ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI zabah karne me konsi or kitni ragein kaatni hai..

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*   QURBAANI zabah karne me konsi          or kitni ragein kaatni hai... 🅾 1⃣4⃣  ★ Allama Mufti Amjad Ali..alayhirrahmaan..farmate hai...        Jo ragein zabah mein kaati jaati hain wo 4 hai..  ★ HULQUM..Ye wo hai jis mein se saans ( breathing ) aati jaati hai..  ★ MURI..Isse khaana paani utarta hai..In dono k aas paas 2 ragein aur hai..Jo khoon ki hai..  ★ In ragon ko WA DA JAIN kehte hai..Zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai..Matlab agar 3 bhi kat gayi to jaanwar halaal ho jayega..Or..       Agar 4 me se har aik rag zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega..Or..Agar..       Aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi. BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

DUSRE SE QURBANI karwane mein

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*  DUSRE SE QURBANI karwane mein 🅾 1⃣3⃣  ★ Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho..Or agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de..lekin khud bhi haazir rahe..Ye behtar hai.  ★ Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko.. Bismillah..kehna WAAJIB hai.       Agar dono mese aik ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padh lii hogi muje padhne ki zarurat nahi..To in dono surton mein jaanwar HALAAL na huwa. AALAMGIIRI DURRE MUKHTAAR ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

SING KA MASLA-PET ME BACHCHA

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* SING KA MASLA-PET ME BACHCHA 🅾 1⃣2⃣  ★ Jis jaanwar k paidaaishi siing na ho uski Qurbaani jaaiz hai..Or siing the..Magar toot gaye..Agar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi Or sirf oopar se toote hai..Jad salaamat hai to qurbaani ho jayegi.  ★ Qurbaani karte waqt jaanwar uchhlaa koodaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi.        Or uchhal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi.  ★ Qurbaani kii..Or us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai..        Or agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai..Qurbaani ho gayi. AALAMGIIRI DURRE MUKHTAAR BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI k aibdaar ( defected ) jaanwaron ki tafsiil..jinki Qurbaani nahi hoti..!

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*     QURBAANI k aibdaar ( defected )    jaanwaron ki tafsiil..jinki Qurbaani nahi hoti..!  🅾 1⃣1⃣  ★ Aisa paagal jaanwar jo charta       na ho.  ★ Itna kamzor k haddiyon mein       maghaz na raha..khada bhi       na reh pata ho.  ★ Andha ya aysa kaana jis ka       kaanaapan zaahir ho.  ★ Aysa biimaar jo bimaari ki wajah       se chaara na khaaye.  ★ Aysa langda jo khud apne pairon       se chal kar qurbaan gaah tak       na ja sake.  ★ Jis k paidaaishi kaan na hon ya       aik kaan na ho.  ★ Wah-shi yani jangli jaanwar jaise       nil gaaye.  ★ Jangli bakra ya khunsa jaanwar       matlab..aysa k jisme Nar or       Maada dono ki alaamatein hon.  ★ Ya jal-laa-la yani jo sirf napaak     ...

Qurbaani k janwar ki umar kitni honi chahiye ?★ Jaanwar kaisa hona chaahiye

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ★ Qurbaani k janwar ki umar       kitni honi chahiye ? ★ Jaanwar kaisa hona chaahiye  🅾 🔟  ★ Qurbaani k jaanwar ki umar...        ■ Uunt..( Camel ) ...5 saal...        ■ Gaay..Bhens.......2 saal...        ■ Bakra..................1 saal...  ★ In jaanwaron ki nasal k NAR..MAADA bachche denewali na denewali sab ki Qurbaani jaaiz hai.  ★ Bakre mein Bakri..Dumba..Dumbi..Bhed...Nar..Maada..sab aa gaye. ★ Uupar bataaye huwe tamaam jaanwaron ki umar bataayi hui umar se kam umar ho to chaahe aik din bhi kam ho to Qurbaani jaaiz nahi..Zyada ho to jaaiz hai..Bl k afzal hai. BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI dusre ki O Naabaaligh ki

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* QURBAANI dusre ki O Naabaaligh ki 🅾 9⃣  ★ Kuch log saare ghar waalon ki taraf se sirf aik bakra Qurbaani karte hai jab k ghar k kaiin log saahibe nisaab hote hai..Or sab par waajib hoti hai to...       Ayse mein sab par alag alag Qurbaani waajib hai to aik bakra jo sabki taraf se kiya gaya to kisi ka bhi waajib ada na huwa.  ★ Naabaaligh ki taraf se Qurbaani waajib nahi lekin kar dena behtar hai.  ★ Baaligh awlaad ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chaahe..to ijaazat lekar kare..        Agar ijaazat k baghair kar di to unki taraf se waajib ada na hoga.  ★ Ijaazat 2 tarah ki hoti hai..Aik..Saraahatan..Jaise k un mese koi saaf tor par keh de k..Meri taraf se Qurbaani kar do..       Dusri..Dalaalatan..Under stood..Jaise apni biwi ya awlaad ki taraf se Qurbaani karta hi hai..Or wo bhi jaante hai..Or wo raazi hai..Ye bhi ijaazat hi hai. FATAWA AHLE SUNNAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑...

QURBAANI kise kehte hai ? ★ QURBANI ka jaanwar kaysa ho

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*  ★ QURBAANI kise kehte hai ?  ★ QURBANI ka jaanwar kaysa ho  🅾 8⃣  ★ Qurbaani aik maal se honewaali ibaadat hai jo maaldar par waajib hai.. Khaas jaanwar ko khaas din mein ALLAH k liye sawaab ki niyyat se ZABAH karna..isko Qurbaani kehte hai.  ★ Gaay..Bhens..Uunt..( Cow..Buffalo..Camel ) in jaanwaron mein 7 Qurbaani ho sakti hai.  ★ Qurbaani k waqt mein Qurbaani karna hi laazim hai..koi dusri chiiz is k badle mein nahi ho sakti..        Jaise koi Qurbaani ka bakra ya utna paisa khairaat karde..Ye naa kaafi hai..( waajib ada na hoga )  ★ Qurbaani ka jaanwar be-aib ( without any defect ) hona zaruri hai..agar thoda aib hai jaise kaan mein chiiraa ya suraakh to Qurbaani makrooh hogi or zyada aib ho to Qurbaani nahi hogi. BAHARE SHARIYAT ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

QURBAANI ka waqt kab se kab tak hota hai..or..★ QURBAANI k waqt me sharaait ka hona kya chiiz hai..?

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* ★ QURBAANI ka waqt kab se kab       tak hota hai..or.. ★ QURBAANI k waqt me sharaait       ka hona kya chiiz hai..? 🅾 7⃣  ★ 10 Zulhijjah ki subha saadiq ( sehri khatm ka waqt ) se lekar 12 zulhijjah k ghurub aaftaab ( maghrib ki azaan tak ) tak hai..  ★ MASALA...city ( sheher ) mein Qurbaani kii jaaye to SHART ye hai k Eid ki namaaz k baad ho Or Gaanw ( village ) mein Eid ki namaaz nahi hoti isliye wahaan subha saadiq se ho sakti hai...or..       ( Jis gaanw mein Eid ki namaaz hoti ho wahan namaaz k baad Qurbaani karein )  ★ Maal or dusri shartein Qurbaani k uupar bataaye huwe waqt mein paayi gayi to Qurbaani waajib hogi..  ★ Is masle ko bayaan karte huwe Hazrat Mufti Amjad Ali Aaazmi..alayhirrehman..Bahaare shariyat mein farmate hai..k..      Ye zaruri nahi k 10 wi ko hi qurbaani kar daale..uupar bataye huwe waqt mein jab chaahe kare..Agar shuru din me waajib na thi m...

HAAJATE ASALIYA ka matlab kya ?

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*  HAAJATE ASALIYA ka matlab kya ? 🅾 6⃣  ★ Haajate asaliya ka matlab wo chiizein jinki aam tor par insaan ko zarurat hoti hai or jin k baghair zindagi guzaarne mein bohot zyada tangi or takliif mehsus hoti hai jaise.     ■ Rehne ka ghar.     ■ Pehenne k kapde.     ■ Sawaari.     ■ Ilme din ki kitaabein..     ■ Apne peshe ( hunar-dhande )        k awzaar..  ★ Agar ham haajate asaliya k matlab par ghor karein to..hamare gharon me bohot si chiizein aysi hai jo haajate asaliya mein daakhil nahi..to..       Agar un chiizon ki qiimat saadhe baawan ( 52.5 ) tole chaandi k baraabar pohonch jaaye to Qurbaani WAAJIB hogi. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       KHAAS DHYAAN SE PADHEIN ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪NOTE...Dostaane mohtaram..Misaal k tor par ( eg ) Yun samjo k..aaj k market rate k hisaab se 52.5 tole chaandi ki raqam 25000 rupye or oopar kuch sau rupye banti hai...to......

WAAJIB HONE KI SHARTEIN-MAAL

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*  WAAJIB HONE KI SHARTEIN-MAAL 🅾 5⃣ ▪Qurbaani waajib hone ki shartein       Ye hai k har..  ★ Baaligh..( na baaligh na ho )  ★ Muqiim..( musaafir na ho )  ★ Musalmaan Mard O Awrat  ★ Maalike nisaab..Par Qurbaani       Waajib hai. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖   MAALIKE NISAAB KISE KEHTE HAI ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪Maalike nisaab hone ka matlab         Ye hai k..  ★ Us sakhs k paas saadhe baawan       ( 52.5 ) tole chaandi..  ★ Ya itni maaliyat ki raqam..  ★ Ya itni value ka buisnes ka maal.  ★ Ya itni value ka samaan jo hajate        asaliya k siwa ho..Or..  ★ Us par agar itna qarz bhi ho k adaa karne k baad uupar bataya gaya nisaab baaqi raheta ho..to..       Wo Maalike nisaab hai..Qurbaani       Us par waajib hai..Or..  ★ { Ye hukm 10 wi Zulhijjah ki Subha saadiq ( sehri ka waqt khatm hota hai us w...

NAAKHUN OR BAAL KATWAANA

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*     NAAKHUN OR BAAL KATWAANA 🅾 4⃣        Mafhume hadiis ▪Aaqa..sallallahu alayhi wasallam..farmate hai k..Jab baqra eid k mahine ka pehla ashrah aa jaaye ( pehle 10 din ) or..Jo koi Qurbaani karna chaahe to apne baal or khaal ko bilkul haath na lagaaye..( na kaate )  ★ Is hadis ki sharah mein Mufti Ahmed Yaarkhan Naimi..alayhir rehman..farmate hai..K..       Matlb..Jo Maaldaar ( waajib ) or Gharib ( nafl ) Qurbaani ka iraada kare wo ZULHIJJAH ka chaand dekhne se Qurbaani karne tak Naakhun..Baal..apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye ta k haajiyon ki thodi naqal ho jaaye k haaji ahraam mein hajaamat nahi kara sakte..Or..  ★ Dusri baat ye k jis qadar baal zyada or naakhun hai wo Qurbaani ka fidiya ban jaaye ( jahannam se aazaadi ka )        Ye hukm MUSTAHAB hai WAAJIB nahi..To Agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi Or aysa karne se Qurbaani mein bhi koi khalal nah...

QURBAANI PUL-SIRAAT KI SAVAARI

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀* QURBAANI PUL-SIRAAT KI SAVAARI 🅾 3⃣       Mafhume Hadis ▪Aaqa..sallallahu alyhi waalihi wasallam..farmate hai k..        ■ Baqra Eid k din insaan aysi koi neki nahi karta Jo Allah ko khoon bahaane se zyada ( Qurbaani karne se ) pyaari ho..        ■ Ye Qurbaani qayaamat mein apne singon baalon or khuron ( khudiyaan ) k saath aayegi..or..        ■ Qurbaani ka khoon zamin par girne se pehle Allah qubool farmata hai is liye Qurbaani khush dili se ( shoq se ) karo.  ★ Hazrat Abdul haq muhaddis dehelwi..alayhirrahman..farmate hai..k..Qurbaani apne karnewale k nekiyon k palde me rakkhi jayegi jisse nekiyon ka palda bhari hoga.  ★ Mulla Ali qari..alayhirrahman..farmate hai..k..Fir us k sawaari banegi jis k zariye Qurbaani karnewala aasaani se pul-siraat se guzrega or us ka har uzwa ( every part of body ) Qurbaani karnewale k har uzwa ka fidya banega. MIRQAATUL MAFAATIH ABL...

QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 QURBAANI 🥀*  QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB  🅾 2⃣  ★ Agar kisi par Qurbaani waajib hai or us waqt us k paas rupye nahi to udhaar le kar ya koi chiiz bech kar k Qurbaani kare. 📚FATAWA AMJADIYAH Jild..3..Safa..315 ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ▪Hazrate Ahmed bin Ishaaq..rehmatullah alah..kehte hain..k..       Mera aik gharib bhai tha..gharib tha fir bhi Allah ki raza k liye Qurbaani karta tha..Us k marne k baad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai..mene dekha k..       Mera bhai Aik ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai..Mene poocha..k Allah ki baargah me tera kya maamla raha..to wo bola k...       Aik budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya..to mene poocha k ye sab ghode ?...to kehne laga k...       Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai..to mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola k..JANNAT ki taraf..o...

QURBAANI KARNE KI FAZILAT

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QURBAANI 🥀*       QURBAANI KARNE KI FAZILAT 🅾 1⃣ ▪Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..farmate hai k..  ★ Qurbaani karnewale ko Qurbani k jaanwar k har baal k badle me aik neki milti hai...  ★ Jisne khush dili se sawab paane k liye Qurbaani ki to wo jahannam ki aag se hijaab ( parda..rukaawat ) ho jayegi.  ★ Aey Fatema..Apni Qurbaani k paas maujood raho kyun k us k khoon ka pehla qatra ( drop ) girega to tumhare saare gunah maaf kar diye jaayenge.  ★ Jis ko bhi Qurbaani karne ki wus-at ( taaqat ) ho or fir bhi wo Qurbaani na kare to hamari eid-gaah k qariib na aaye. TIRMIZI SHARIF AL MO JAMUL KABIR AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI ABLAQ GHODE SUWAAR 👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑 *🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*