QURBANI k janwar par zulm na kare 1⃣6⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 QURBAANI 🥀*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBANI k janwar par zulm na kare
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅾 1⃣6
★ Zabah karne k baad jab tak jaanwar thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza ( body parts ) alag karne ki Ujlat..Utaawal..na karein.
★ Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..ne jahannam mein aik awrat ko is haal mein dekha k..Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai..Use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya mein us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi..
Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq mein aam hai.
★ Aik baar hamare Aaqa..sallallahu alyhi wasallam..Aik aadmi k paas se guzre..Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi.. Aaqa ne irsaad farmaya..
Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?..Kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?..Ise litaane se pehle apni chhuri tez kyun na kar li..?
★ Siyeduna Faaruqe Azam..radiyallahu taala anh..ne aik shakhs ko dekha jo bakri ko zabah karne k liye use taang se pakad kar ghasiit raha hai..Aapne usse kaha..tere liye kharaabi ho..Ise maut ki taraf achche andaaz mein le ja.
★ Kisine khwaab mein Imam Ghezaali..alayhir rehman..ko dekh kar pucha k..Allah ne aap k saath kya maamla farmaya..?..To jawab diya...K Allah ne muje bakhsh diya or wajah batate huwe farmaya..
Aik baar aik makkhi siyahi ( ink ) piine k liye mere qalam ( pen ) par beth gayi..mein likhne se ruk gaya yahan tak k wo siyahi pii kar ud gayi.
▪SUBHANALLAH..Aik makkhi par taras khaane ki wajah se najaat ho gayi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪NOTE...To jaanwaron par Tashaddud..Sakhti se bachna chahiye..Ye amal hamari aakhirat ki barbaadi ka sabab ban sakta hai.
AZ ZAWAAJIR
SUNANUL KUBRA-BAYHAQI
LATAAIFUL MINAN WAL-
-AKHLAAQ LISH SHERAANI
ABLAQ GHODE SUWAAR
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें