KUCH AQIQEH K BAARE MEIN
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 QURBAANI 🥀*
KUCH AQIQEH K BAARE MEIN
🅾 2⃣6⃣
★ Aqiqeh ka waqt shariyat mein 7 waan din hai..Agr bachcha 7 din ko hone se pehle hi guzar ( mar jaye ) jaaye To Ab aqiqe ki haajat nahi..Aur Jo mar jaaye chaahe kisi bhi umar ( age ) ka ho Uska Aqiqah nai ho sakta.
★ Aqiqeh ka waqt 7 wen din se shuru hota hai..sunnat O afzal yahi hai..Lekin agar kisi ne 1 din k bachche ka bhi aqiqah kar diya to aqiqah ho jaayega.
★ Hazrate Buraidah se riwayat hai k..Jahalat k daur mein jab jab bachcha paida hota to bakri ka khoon bachche k sar par lagaate..Jab islaam ka zamana aaya to bakri zabah karte bachche ka sar mudaate or sar par zaafraan lagaate.( saffron )( mafhum )
★ Zaafraan paani mein bhigaa dein..Jab narm ho jaaye to use achchi tarah masal dein or bachche k munde huwe sar par lagaa dein.
★ Agar aqiqah 7 wein din na kar sake to koi gunah nahi..Aqiqah 7 wein din sunnat o afzal hai..warna 14 wein din..warna 21 wein din karein.
★ Agar 7 wein na kar sakein to jab chahein kar sakte hain..Ya jis din paida huwa us din ko yaad rakhein..Us din se pehle wala din 7 waan hi hoga..maslan..eg..koi jumuah ko paida huwa to jumaraat 7 waan din hai.
FATAWA RAZVIYAH
ABU DAAUUD SHARIF
BAHAARE SHARIYAT
AQIQE K BAARE MEIN-
-SUWAL JAWAAB
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें