NAAKHUN OR BAAL KATWAANA
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 QURBAANI 🥀*
NAAKHUN OR BAAL KATWAANA
🅾 4⃣
Mafhume hadiis
▪Aaqa..sallallahu alayhi wasallam..farmate hai k..Jab baqra eid k mahine ka pehla ashrah aa jaaye ( pehle 10 din ) or..Jo koi Qurbaani karna chaahe to apne baal or khaal ko bilkul haath na lagaaye..( na kaate )
★ Is hadis ki sharah mein Mufti Ahmed Yaarkhan Naimi..alayhir rehman..farmate hai..K..
Matlb..Jo Maaldaar ( waajib ) or Gharib ( nafl ) Qurbaani ka iraada kare wo ZULHIJJAH ka chaand dekhne se Qurbaani karne tak Naakhun..Baal..apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye ta k haajiyon ki thodi naqal ho jaaye k haaji ahraam mein hajaamat nahi kara sakte..Or..
★ Dusri baat ye k jis qadar baal zyada or naakhun hai wo Qurbaani ka fidiya ban jaaye ( jahannam se aazaadi ka )
Ye hukm MUSTAHAB hai WAAJIB nahi..To Agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi Or aysa karne se Qurbaani mein bhi koi khalal nahi aata..Qurbaani ho jati hai... Na tarashe to behtar hai zaruri nahi..Or..
★ Aage fir farmate hai..K Jo Qurbaani na kar sake wo bhi in 10 dino mein hajaamat na karaye..Baqra Eid k din namaaze eid ke baad karaaye to InshaAllah Qurbaani ka sawaab payega.
MIR ATUL MANAAJIH
Jild..2 safa...38
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Yaad rahe 40 din k andar andar Naakhun taraashna..Baghlon k baal saaf karna..Naaf ( dooti ) k niche k baal saaf karna zaruri hai 40 din se zyada der karna gunah hai.
★ Siyedi sarkaare AalaHazrat..alyhirrehman..farmate hai..Ye hukm e mustahab hai ( na taraashna..na kaatna ) kare to behtar na kare to koi muzaayqa nahi or na ye naa farmaani hai na isse Qurbaani mein koi khaami aayegi..
Haan agar kisine 31 din se na taraashe ho or chaand ho gaya to is ( na taraashna ) mustahab amal k liye gunah nahi karna chahiye..K Ab 31 din k baad nahi taraashega ( kaatega ) baqra eid tak 41 din ho jayenge or ye gunah hai..
Mustahab kaam k liye gunah nahi karna chaahiye..Is liye aysi haalat mein taraashna zaruri hai..Gunah se bachne k liye.
FATAWA RAZWIYAH
Jild 20..Safa 353-54
ABLAQ GHODE SUWAAR
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें