HAAJATE ASALIYA ka matlab kya ?
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 QURBAANI 🥀*
HAAJATE ASALIYA ka matlab kya ?
🅾 6⃣
★ Haajate asaliya ka matlab wo chiizein jinki aam tor par insaan ko zarurat hoti hai or jin k baghair zindagi guzaarne mein bohot zyada tangi or takliif mehsus hoti hai jaise.
■ Rehne ka ghar.
■ Pehenne k kapde.
■ Sawaari.
■ Ilme din ki kitaabein..
■ Apne peshe ( hunar-dhande )
k awzaar..
★ Agar ham haajate asaliya k matlab par ghor karein to..hamare gharon me bohot si chiizein aysi hai jo haajate asaliya mein daakhil nahi..to..
Agar un chiizon ki qiimat saadhe baawan ( 52.5 ) tole chaandi k baraabar pohonch jaaye to Qurbaani WAAJIB hogi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KHAAS DHYAAN SE PADHEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪NOTE...Dostaane mohtaram..Misaal k tor par ( eg ) Yun samjo k..aaj k market rate k hisaab se 52.5 tole chaandi ki raqam 25000 rupye or oopar kuch sau rupye banti hai...to...
Qurbaani k dinon mein chaandi ka rate malum kar k gina jaaye to 52.5 tole chaandi ki qiimat kitni raqam banti hai...?
Or fir dekh lein k itna maal to bohot saare mardon or orton k paas mil jayega jo Qurbaani waajib hone k baawujud nahi karte..to is chiiz par tawajjo dein or agar ham haajate asaliya k siwa maal rakhte hon to ham par Qurbaani waajib hogi.
..........AL AMAAN WAL HAFIIZ....
🔻ALLAH se dua hai tamam musalman bhai behno ko amal ki tofiq ata farmaye..AAMEEN
FATAWA RAZWIYA
ABLAQ GHODE SUWAAR
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें