QURBAANI k aibdaar ( defected ) jaanwaron ki tafsiil..jinki Qurbaani nahi hoti..!
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 QURBAANI 🥀*
QURBAANI k aibdaar ( defected )
jaanwaron ki tafsiil..jinki Qurbaani nahi hoti..!
🅾 1⃣1⃣
★ Aisa paagal jaanwar jo charta
na ho.
★ Itna kamzor k haddiyon mein
maghaz na raha..khada bhi
na reh pata ho.
★ Andha ya aysa kaana jis ka
kaanaapan zaahir ho.
★ Aysa biimaar jo bimaari ki wajah
se chaara na khaaye.
★ Aysa langda jo khud apne pairon
se chal kar qurbaan gaah tak
na ja sake.
★ Jis k paidaaishi kaan na hon ya
aik kaan na ho.
★ Wah-shi yani jangli jaanwar jaise
nil gaaye.
★ Jangli bakra ya khunsa jaanwar
matlab..aysa k jisme Nar or
Maada dono ki alaamatein hon.
★ Ya jal-laa-la yani jo sirf napaak
khaata ho.
★ Ya jiska aik pair kaat liya gaya ho.
★ Dum ( tail ) ya chakki 1/3 ( kul mese tisra hissa ) se zyada kate huwe hon..naak kati hui ho..daant na ho..gir gaye hon.
★ Than ( jisse doodh nikalta hai ) kate huwe hon ya suukh gaye hon..In sab ki Qurbaani NA JAAIZ hai..Or..
★ Agar bakri mein aik than sookh gaya ho or gaay bhens mein dono than sookh gaye ho to na-jaaiz hai.
BAHAARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
ABLAQ GHODE SUWAAR
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें