QURBANI EK MAALI IBADAT

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀 QURBANI KA BAYAN 🥀*





↪PART:- 02.

📋QURBANI EK MAALI IBADAT HAI JO GHANI PAR WAJIB HAI KHAAS JANWAR KO KHAAS DIN ME ALLAH KE LIYE SAWAB KI NIYYAT SE ZIBAH KARNA KURBANI HAI JO MUSALMAN MUQEEM, MALIKE NISAB, 
AAZAD PAR WAJIB HAI...

🔖MAS'ALA No:- 01.

🔪Jis Trag Qurbani Mard Par Wajib hai Usi Trah Aurat par bhi Wajib hai....

🔖MAS'ALA No:- 02

🔪Musafir Par Qurbani Wajib Nahi Lekin Agar Nafil ke Tor par Kare to Kar sakta hai Sawab Paega...

🔖MAS'ALA No:- 03

🔪Malike Nisab Hone se Muraad Itna Maal hona Hai Jitna Maal Hone se Sadqa E Fitr Wajib Hota hai! 
Yani Hajate Asliya Ke Alawa 200 Dirham(52.5 TOLA CHANDI) Ya 20 Dinar(7.5 TOLA GOLD) Ka Malik ho....

🔖MAS'ALA No:- 04

🔪Jo Saksh Malike Nisab Ya Hajat Ke Siwa Kisi Esi Cheez ka Malik ho Jiski Qeemat 200 Dirham ho To Wo Ghani Hai Uspar Qurbani Wajib hai...

🔖QURBANI KA WAQT:- 

🔪10Vi Zulhijja ki Subha Sadik Se 12 vi Ke Gurub-e-Aftab Tak Yani 3 din Aur 2 Rate Lekin 10vi Shab me Afzal hai fir 11 vi Fir 12 vi....

🔖MAS'ALA No:- 05

🔪Shehar Me Qurbani Ki Jae To Shart Ye hai Ki Namaz-E-Eid Ke Bad Ho Aur Dehat me Chunki Namaz Eid Nahi Isi Liye Subha Sadik Se ho Sakti hai....

🔖MAS'ALA No:- 06

🔪Qurbani Ke Waqt Me Qurbani Hi Karni Lazim hai Itni Qeemat Ya Itni Qeemat Ka Janwar Sadqa Karne se Wajib Ada na hoga....

📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 242/243)

📥Continue.....

↘POSTED BY





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10