QURBAANI pulsiraat ki sawaari

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀 QURBANI KA BAYAN 🥀*





↪PART:- 06.

QURBAANI pulsiraat ki sawaari...

✅Hadees:- 

🔪Aaqa...
Sallallahu alyhi waalihi wasallam...
Farmate hai k...

🔪Baqra Eid k din Insaan aysi koi neki nahi karta jo Allah ko khoon bahaane se zyada 
( Qurbaani karne se ) pyaari ho..

🔪Ye Qurbaani qayaamat me apne singon baalon or khuron ( khudiyaan ) k sath aayegi..

🔪Qurbaani ka khoon zamin par girne se pehle Allah qubool farmata hai is liye Qurbaani khush dili se 
( shokh se ) karo..

🔪 Hazrat Abdul haq muhaddis dehelwi...
Alayhirrahman...
Farmate hai Ke...

🔪Qurbaani apne karnewale k nekiyon k palde me rakkhi jayegi jisse nekiyon ka palda bhari hoga..

🔪Mulla Ali Qari Alayhirrahma
Farmate hai ke.Fir us k sawaari banegi jis k zariye Qurbaani karnewala Aasaani se pulsirat se guzrega or us ka har uzwa Qurbaani karnewale k har uzwa ka fidya banega......

📚(MIRQAATUL MAFAATIH)

NAAKHUN OR BAAL KATWAANA

✅Hadees:-

🔪Aaqa Sallallahu alayhi wasaala Farmate hai k... 

🔪Jab Baqra Eid k mahine ka pehla Ashrah aa jaaye ( pehle 10 din ) or...jo koi Qurbaani karna chaahe to apne baal or khaal ko bilkul haath na lagaaye..(Na kaate )

🔪Is hadis ki sharah mein Mufti Ahmed Yaarkhan Naimi Alayhirrehma farmate hai...

🔪Matlb...
Jo maaldaar ( waajib ) or gharib 
( nafl ) Qurbaani ka iraada kare wo ZULHIJJAH ka chaand dekhne se Qurbaani karne tak Naakhun..
Baal..
Apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye ta k haajiyon ki thodi naqal ho jaye k haaji ahraam me hajaamt nahi kara sakte...

🔪Aur Dusri baat ye k jis Qadar baal zyada or naakhun hai wo Qurbaani ka fidiya ban jaye 
( jahannam se aazaadi ka ) 

🔪Ye hukm MUSTAHAB hai WAAJIB nahi.... 
Agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi or aysa karne se Qurbaani me bhi koi khalal nahi aata Qurbaani ho jati hai Na tarashe to behtar hai zaruri nahi...

🔪Aur Aage fir frmate hai...
Jo Qurbaani na kar sake wo bhi in 10 dino me hajaamat na karaye...baqra eid k din namaaze eid ke bad karaaye to InshaAllah Qurbaani ka sawaab payega.

📚(MIR ATUL MANAAJIH...
Jild..2 safa...38 )

🔪Yaad rahe 40 din k andar andar naakhun taraashna..
Baghlon k baal saaf karna..
Naaf ( dhooti ) k niche k baal saaf karna zaruri hai 40 din se zyada der karna gunah hai.....

🔪Sayedi sarkaare AalaHazrat Alyhirrehman Frmate hai..
Ye hukm e mustahab hai ( na taraashna na kaatna ) kare to behtar na kare to koi muzaayqa nahi or na ye naa farmaani hai na isse Qurbaani me koi khaami aayegi...

🔪Haan agar kisine 31 din se na taraashe ho or chaand ho gaya to is ( na taraashna ) mustahab amal k liye gunah nahi karna chahiye... 

🔪Ab 31 din k bad nahi taraashega baqra eid tak 41 din ho jayenge or ye gunah hai... 

 🔪Mustahab kaam k liye gunah nahi karna chaahiye... 
Is liye aysi haalaat me taraashna zaruri hai...gunah se bachne k liye...

📚(FATAWA RAZWIYAH-Jild 20
Safa 353-54)

📬Continue....

↘POSTED BY




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10