BAAKI KE DINON KI RAMI AUR MASAAIL 2⃣9⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*LAST POST 29*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ BAAKI KE DINON KI RAMI AUR MASAAIL.*
▶ Barhweeh ki rami karke guroob e aaftab se pehle pehle ikhtiyaar hai ki Makkah Mu'azzama ko ravana ho jaao magar guroob ke baad chala jaana bura hai, abh ek din aur therna aur terhweeh (13th) Zilhijjah ba dastoor dopahair dhale rami karke Makkah Mu'azzama jaana hoga aur yahi afzal hai magar aam log barhweeh ko chale jaate hai toh ek raat din yahañ aur qiyaam mein thode logoñ ko dikkat hogi aur agar terhweeh ki subha yaani fajr ki namaaz ka waqt hogaya toh abh baghair rami kiye jaana jayez nahi, jaaega toh dum wajib hoga dasvi ki rami ka waqt upar zikr huwa gyarweeh, barhweeh ka waqt aaftab dhalne yaani zohr ka waqt shuru hone se subha yaani terhweeh ke suraj ki pehli kiran chamakne tak hai magar raat mein yaani aaftab doobne ke baad makrooh hai aur terhweeh ki rami ka waqt subha yaani fajr ki namaaz ka waqt shuru hone se aaftaab doobne tak hai magar subha se aaftab dhalne tak makrooh waqt hai uske baad guroobe aaftaab tak masnoon (sunnat) lihaza agar pehli teen tareekhoñ 10,11,12 ki rami din mein na ki toh raat mein karle phir agar bagair uzr hai toh karahat hai warna kuch nahi aur agar raat mein bhi na ki toh qaza ho gayi abh doosre din uski qaza de aur uske zimme kaffara wajib aur iss qaza ka bhi waqt terweeh ke aaftab doobne tak hai agar terhweeh ko aaftaab doob gaya aur rami na ki toh abh rami nahi ho sakti aur dum wajib.

*📚 Raddul Mohtar.*

*🎬 Ending*


https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10