Haj ke wajib hone ke shara'it_1⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 01*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*
_✏️ Haj ke wajib hone ke shara'it_
1⃣ Islam - Lihaaza agar musalman hone se pehle istita'at thi phir fakeer hogaya toh islam laane ke baad haj farz na hoga ki istita'at thi uska ahal na tha aur abh ki ahal huwa istita'at nahi aur musalman ko agar istita'at thi aur haj na kiya tha abh fakeer hogaya toh abh bhi farz hai.
*📚 Durre Mukhtar, Raddul Mohtar, Safah 141*
Masla- Haj karne ke baad Ma'azAllah murtad hogaya phir islam laya toh agar istita'at ho toh phir haj karna farz hai ki murtad hone se haj wagaira sab Aamaal baatil hogaye.
*📚 Alamgiri*
Yuñhi agar haj karte mein murtad hogaya toh ehraam baatil hogaya aur agar kaafir ne ehraam baandha tha phir islaam laya agar phir se ehraam baandha aur haj kiya toh hogaya warna nahi.
2⃣ Darul harb mein ho toh woh bhi zaroori hai ki jaanta ho ki islaam ke faraaiz mein haj hai lehaaza jis waqt istita'at thi yeh masla maloom na tha aur jabh maloom huwa us waqt istita'at na ho toh farz na huwa aur janne ka zariya yeh hai ki do (2) mardoñ ya ek mard aur do (2) aurtoñ ne jinka fasiq hona na zahir ho ussey khabar de aur ek aadil ne khabar di jabh bhi wajib ho gaya aur darul islaam mein toh agarche farz hona maloom na ho farz jayega ki darul islam mein faraaiz ka ilm na hona uzr nahi.
*📚 Alamgiri, Safa 141*


https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10