Haj ke wajib hone ke shara'it_2⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Safar e Hajj 🥀*
*POST 02*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
_✏️Haj ke wajib hone ke shara'it_
3⃣ Baaligh hona - Naabaligh ne hajj kiya yaani apne aap jabh ki samajhdaar ho ya uske wali ne us ki taraf se ehraam baandha ho jabh ki nasamajh ho ya baher haal woh Hajj e Nafl huwa Hajjat ul Islaam yaani Hajj e Farz ki jagah nahi ho sakta.
*Masla* - Naabaligh ne hajj ka ehraam bandha aur arfat mein teherna se peshtar (pehle) baligh hogaya toh agar ussi pehle ehraam par raha toh Hajj e Nafl huwa Hajjat ul Islaam na huwa aur agar sire se ehraam baandh kar Wuqoof e Arfah kiya toh Hajjat ul Islam huwa.
*📚 Alamgiri, Safah 140*
4⃣ Aaqil hona - Majnoon par farz nahi. Pagal tha aur Wuqoof e Arfah se pehle pagal pan jaata raha aur naya ehraam bandh kar hajj kiya toh woh haj Hajjatul Islaam hogaya warna nahi, bohra yaani bohet zyada bewakoof majnoon ke hukm mein hai.
*📚 Alamgiri, Raddul Mohtaar*
*Masla* - Hajj karne ke baad majnoon huwa phir accha huwa toh uss junoon ka hajj par koi asar nahi yaani abh ussey dobara hajj karne ki zaroorat nahi, agar ehraam ke waqt accha tha phir majnoon ho gaya aur ussi halat mein afa'al ada kiya phir barsoñ ke baad hosh mein aya toh Hajj e Farz ada ho gaya.
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें