Haj ke wajib hone ke shara'it_3⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Safar e Hajj 🥀*
*POST 03*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
_✏️ Haj ke wajib hone ke shara'it_
5⃣ Aazad hona - Baandi gulam par hajj farz nahi agarche mudabbir ya mukatib ya ummein walad ho, agarche unke maalik ne hajj karne ki ijazat di ho agarche yeh makkah hi mein ho.
*Masla* - Gulam ne apne maula ke saath hajj kiya toh yeh Hajj e Nafl huwa Hajjatul Islam na huwa. Aazad hone ke baad agar shara'it paaye jaaeñge toh phir karna hoga aur agar maula ke saath jaata tha raaste mein usey aazad kar diya toh agar ehraam baandh kar hajj kiya toh Hajjatul Islam ada hogaya aur ehraam baañdhne ke baad huwa toh Hajjatul Islam na hoga agarche naya ehraam baandh kar hajj kiya ho.
*📚 Alamgiri*
6⃣ Tandrust - Tandrust ho ki hajj ko jaa sake a'azaa salaamat ho, ankhiyara ho, apahij aur phalij wale aur jiske paav katey ho aur budhe par ki sawaari par khud na baith sakta ho hajj farz nahi, yuñhi andhe par bhi wajib nahi agarche haath pakad kar le chalne wala usey mile in sab par yeh bhi wajib nahi ki kisi ko bhej kar apni taraf se hajj kara deiñ ya phir wasiyat kar jaaye aur agar takleef utha kar hajj kar liya toh sahi ho gaya aur Hajjatul Islam ada huwa yaani iske baad agar a'azaa durust ho hogaya to abh dobara hajh farz na hoga wahi pehla hajj kaafi hai.
*📚 Alamgiri*
*Masla* - Agar pehle Tandrust tha aur deegar shara'it bhi paaye jaate the aur haj na kiya phir apahij wagaira ho gaya ki hajj nahi kar sakta toh is par woh hajj baaki hai khud na kar sake toh hajj e badal karaye.
*📚 Alamgiri wagaira Safah 141*
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें