Haj ke wajib hone ke shara'it_ 4⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Safar e Hajj 🥀*
*POST 04*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
*_✏️Haj ke wajib hone ke shara'it_*
7⃣ Safar - Kharch ka maalik ho aur sawaari par qadir ho khwah sawaari uski milkh ho ya uske paas itna maal ho ki kiraye par le sake.
*Masla* - Safar, kharch aur sawaari par qadir hone ke yeh ma'na hai ki yeh cheezeiñ uski haajat se fazil (zyada) ho yaani makaan wa libaas wa khadim aur sawaari ka jaanwar aur peshe ke auzaar aur khaanadaari ke samaan aur dein (qarz) se itna zaayid ho ki sawaari par Makkah Muazzama jaaye aur wahañ se sawaari par wapas aaye aur jaane se waapsi tak ayaal (baal-bacche) ka nafqa aur makaan ki marammat ke liye kaafi maal chordh jaaye aur jaane aane mein apne nafqa aur ghar ayaal ke nafqe mein darmiyaani miqdaar ka aitbaar hai na kami ho na israaf (fuzoolkharchi) ayaal se muraad woh log hai jinka nafqa uss par wajib hai yeh zaroori nahi ki aane ke baad bhi wahañ aur yahañ ke kharch ke baad kuch baaki bache.
*📚Durre Mukhtar Safah 143*
*📚Alamgiri Safah 140*
*Masla* - Itna maal hai ki usse hajj kar sakta hai magar usse nikah karna chahta hai toh nikah na kare balki hajj kare ki Hajj farz hai yaani jabh ki hajj ka zamaana aagaya aur agar pehle nikah mein kharch kar daala aur mujarrad yaani bagair biwi ke rehne mein gunaah ka khauf tha toh harj nahi.
*📚Alamgiri*
*📚Durre Mukhtar*
*Masla* - Jiss makaan mein rehta hai agar usse bechkar usse kam haisiyat ka kharede toh itna rupya bachega ki hajj karle toh bechna zaroori nahi magar aisa kare toh afzal hai. Lihaza makaan bechkar hajj karna aur kiraaye ke makaan mein guzar karna toh aur zyada zaroori nahi.
*📚Alamgiri Safah 140*
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें