Hajj Ke Wajibaat6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 06*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*
_*✏️ Hajj Ke Wajibaat*_
1⃣ Meqaat se ehraam bandhna yaani meqaat se bagair ehraam na guzarna aur agar meqaat se pehle hi ehraam baandh liya toh jaaiz hai.
2⃣ Safah wa Marwah ke darmiyan daudna isko sa'ee kehte hai.
3⃣ Sa'ee ko safah se shuru karna, aur agar marwah se shuru ki toh phera (round) shumar na kiya jaaye uska iaa'da kare yaani dobara kare.
4⃣ Agar uzr na ho toh paidal sa'ee karna, sa'ee ka tawaaf ke aksar phere ke baad yaani kam az kam chaar (4) pheroñ ke baad hona.
5⃣ Din mein Wuqoof kiya toh itni deir tak Wuqoof kare ki aaftaab doob jaaye khwah aaftaab dhalte hi shuru kiya ho ya baad mein gharaz suraj ke doobne tak wuqoof mein mashgool rahe aur agar raat mein wuqoof kiya toh iske liye kisi khaas had tak wuqoof karna wajib nahi magar woh iss wajib ka taarik (chordhne wala) huwa ki din mein guroob tak Wuqoof karta.
6⃣ Wuqoof mein raat ka kuch juz (hisaa) Aajana.
7⃣ Arafat se waapsi mein imaam ki mutaba'at (pairweeh) karna yaani jabh tak imaam waha se na nikle yeh bhi na chale haan agar imaam ne waqt se takheer (deir) ki toh isse imaam ke pehle chala jaana jaaiz hai aur agar bheed wagaira kisi zaroorat se imaam ke chale jaane ke baad theher gaya saath na gaya jab bhi jayez hai.
8⃣ Muzdalifa mein thehairna.
*~~Continued....*


https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10