YEH BAATEIN EHRAAM MEIN JAAIZ HAI.1⃣5⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Safar e Hajj 🥀*
*POST 15*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
*⏩ YEH BAATEIN EHRAAM MEIN JAAIZ HAI.*
2⃣3⃣ Jis jaanwar ko gair muhrim ne shikaar kiya aur kisi muhrim ne uske shikaar ya zibaah mein kisi tarah ki madad na ki ho uska khaana iss shartoñ ke saath ki woh jaanwar na haram ka ho na haram mein zibaah kiya gaya ho.
2⃣4⃣ Khaane ke liye machli ka shikaar karna.
2⃣5⃣ Dawa ke liye kisi daryaayi jaanwar ka marna, dawa ya giza ke liye na ho sirf dil behlaane ke liye ho jiss tarah logoñ mein raeej hai toh shikaar dariya ka ho ya jungle ka khud hi haraam hai aur ehraam mein aur sakht haraam.
2⃣6⃣ Haram mein bahar ki ghaas ukhadna ya darakht kaatna, cheel, kawwa chuha girgit chipkali saanp bicchoo khatmal macchar pissu makkhi wagaira khabees wa moozi ( takleef dene wale ) jaanwaron ka maarna agarche haram mein ho.
2⃣7⃣ muñh aur sar ki siwa kisi aur cheez aur jagah zakhm par patti bandhna.
2⃣8⃣ Sar ya gaal ke neeche takiya rakhna.
2⃣9⃣ Sar ya naak par apna ya doosre ka haath rakhna.
3⃣0⃣ Kaan kapde se chupana.
3⃣1⃣ Thod'di se neeche dadhi par kapda aana.
3⃣2⃣ Sar par sini (thaal) ya bori uthana.
3⃣3⃣ Jis khaane mein pakne mein mushk wagaira pade ho agarche khushbu de ya be-pakaya jisme koi khushbu daali aur woh boo nahi deti uska khaana peena.
3⃣4⃣ Ghee ya charbi ya kadwa tel ya nariyal ya badaam ya loki ka tel ki alag se inn cheezoñ mein khushbu na milaayi gayi ho, inka baalon ya badan mein lagana.
3⃣5⃣ Khushbu ke range huwe kapde pahenna jabki unki khushbu jaati rahi ho magar kusum, zaafraan ka rang mard ko waise he haraam hai.
3⃣6⃣ Deen ke liye jihad karna balki hasbe hajat yaani zarurat ke waqt farz wa wajib hai.
3⃣7⃣ Joota pahenna jo paav ke jod ko na chupaye.
3⃣8⃣ Bina sile kapde mein lapet kar taweez gale mein daalna.
3⃣9⃣ Aayna dekhna.
4⃣0⃣ Aisi khushbu ka chuna jisme filhaal mahek nahi jaise agar,lobaan, sandal ya uska anchal mein bandhna.
4⃣1⃣ Nikaah karna.
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें