EHRAAM KE MAKROOHAT 1⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 16*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ EHRAAM KE MAKROOHAT.*

1⃣ Badan ka mail chudana.
2⃣ Baal ya badan khali ya sabun wagaira bekhushbu ki cheez se dhona.
3⃣ Kanghi karna.
4⃣ Iss tarah khujaana ki baal tootne ya joo ke girne ka andesha ho.
5⃣ Angrakha kurta, chugha pahenne ki tarah kandhoñ par daalna.
6⃣ Khushbu ki dhuni diya huwa kapda ki abhi jis mein khushbu baaki ho ussey pehenna ya odhna.
7⃣ Janboojh kar khushbu sunghna agarche khushbudar phal ya patta ho jaise neembu, narangi, pudina, itrdana.
8⃣ Itrfarosh ki dukaan par iss garaz se baithna ki khushbu se dimaag mua'ttar hoga.
9⃣ Sar ya muñh par patti bandhna.
🔟 Gilaaf e Kaaba ke andar iss tarah dakhil hona ki Gilaaf Shareef sar ya muñh se lage.
1⃣1⃣ Naak wagaira muñh ka koi hissa kapde se chupana.
1⃣2⃣ Koi aisi cheez khana peena jisme khushbu padi ho aur na woh pakayi gayi ho na mahek khatm ho gayi ho.
1⃣3⃣ Bina sila kapda rafu kiya huwa ya paivand laga huwa pehanna.
1⃣4⃣ Takiya par muñh rakh kar aundha yaani muñh neeche ki taraf karke laitna.
1⃣5⃣ Mehakti khushbu haath se choona jabh ki haath mein lag na jaaye aur agar khushbu haath mein lag gayi toh haraam hai.
1⃣6⃣ Baazu ya gale par taweez baandhna agarche be sile kapde mein lapet kar bandhe.
1⃣7⃣ Bila uzr badan par patti bandhna.
1⃣8⃣ Singaar karna.
1⃣9⃣ Chadar odhkar uske anchaloñ mein girah de dena jaise gouti bandhte hai uss tarah bandhna ya kisi aur tarah par bandhna jabh ki sar khula ho aur agar sar chupa hoga toh haraam hai.
2⃣0⃣ Yuñhi tehband ke dono kinaroñ mein girah (gaath) dena.
2⃣1⃣ Tehband bandh kar kamarband ya rassi se kasna.



https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10