TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL 1⃣7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 17*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ TAWAAF KA TAREEKA AUR MASAIL.*

▶ Shuru tawaaf se pehle mard ijtiba'a karle yaani chadar ko dahni bagal ke neeche se nikale ki dahni moñda khula rahe aur dono kinare baayeiñ monde par daal dein.
▶ Abh Kaaba ki taraf muñh karke Hajr e Aswad ki dahni taraf rukne yamani ki janib sang e aswad ke kareeb yuñ khada ho ki tamaam patthar apne dahne haath ko rahe phir tawaaf ki niyyat kare.
▶ Niyyat ke baad Kaaba ko muñh kiye apni dahni janib chale jabh sang e aswad ke mukhabil (saamne) ho kaano tak haath iss tarah uthaao ki hatheliya Hajr e Aswad ki taraf rahe.
▶ Mayassar ho sake toh Hajr e Aswad par dono hatheliyañ aur unke beech mein muñh rakh kar yuñ bosa do ki awaaz na paida ho teen baar aisa hi karo yeh naseeb ho toh kamaal e sa'adat hai yakeenan hamare tumhare Mehboob wa Maula Muhammed ur RasoolAllah ﷺ ne bosa diya aur Chehra e Anwar uss par rakha kya hi khushnaseebi ki tumhara muñh waha tak pahuche aur bheed bhaad ki wajeh se na ho sake toh na auroñ ko takleef do na aap dabo kuchlo balki iske badle haath se chu kar usey choomlo aur haath na pahuche toh lakdi se Hajr e Aswad ko chukar lakdi ko choomlo aur yeh bhi na ho sake toh haathon se uski taraf ishara karke haathon ko bosa de lo.
Hajr e Aswad ko bosa dena ya haath ya lakdi se choo kar choom lene ishara karke haathoñ ko bosa dene ko istelaam kehte hai.
▶ Pehle teen pheroñ mein mard ramal karta chale yaani jald-jald chote qadam rakhta shaane (kandhe) hilaata jaise qavi bahadur log chalte hai, na kood'ta na daudta, jahañ hujoom ho jaye aur ramal mein apni ya doosre ko izaa ho toh utni deir ramal tark kare magar ramal ki khatir ruke nahi balki tawaaf mein mashgool rahe phir jabh mauka mil jaaye to jitni deir tak ke liye mauka mile utni deir tak ke liye ramal ke saath tawaaf kare



https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10