AANTH (8) ZILL HIJJAH2⃣0⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Safar e Hajj 🥀*
*POST 20*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
*⏩ AANTH (8) ZILL HIJJAH*
1⃣ Jisne ehraam na baañdha ho baañdh le aur ek nafl tawaaf mein ramal wa sa'ee karle, jaise ki pehle bataya gaya aur ehraam ke mutalliq jo aadab peshtar bayaan kiye gaye yaha bhi lehaaz rakhe aur naha dhokar Masjid e Haram Shareef mein aaye aur tawaaf kare uske baad tawaaf ki namaz ba dastoor ada kare phir do rakaat sunnat ehraam ki niyyat se padhe uske Hajj ki Niyyat kare aur labbaik kahe. Jabh aftaab nikal aaye Meena ko chale agar aaftaab nikalne ke pehle he chala gaya jabh bhi jaaiz hai magar baad mein behtar hai aur zawaal ke baad bhi ja sakta hai magar zuhar ki namaz Meena mein padhe aur ho sake to paidal jaaye ki jabh tak Makkah Mu'azzama palat kar aaoge har qadam par saat karod nekiya likhi jayegi. Raaste bhar labbaik wa dua wa darood wa Sana ki kasrat karo.
2⃣ Yahañ raat ko therna zohar se navvi (9) ki subha tak ki paañch (5) namaze yahi masjid e khaif mein padho.
3⃣ Arfah ki raat Meena mein zikr wa ibadat se jaag kar subha karo. Sone ke din bohet pade hai aur na ho sake toh kam se kam Isha wa Fajr pehli jama'at se padho ki shab bedaari raat bhar jaag kar ibadat karne ka sawaab milega aur ba wazu so ki rooh arsh tak buland hogi.
*▶ Masla-* agar arfah ki raat Makka mein guzari aur navvi ko fajr padh kar Meena hota huwa arfat mein pahucha toh hajj ho jaaega magar bura kiya ki Sunnat ko tarq kiya yuñhi agar raat ko meena mein raha magar subha sadiq hone se pehle ya namaze fajr se pehle ya aaftaab nikalne se pehle arafat ko chala gaya toh bura kiya aur agar aantvhi (8) ki jumu'ah ka din hai jabh bhi zawaal se pehle meena ko ja sakta hai ki iss par jumu'ah farz nahi aur jumu'ah ka khayal ho toh meena mein bhi jumu'ah ho sakti hai jabh ki Ameer e Makkah wahañ ho ya uske hukm se jumu'ah qayim kiya jaaye
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें