WUQOOF E ARAFAT KE MAKROOHAT AUR MASAIL 2⃣2⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Safar e Hajj 🥀*
*POST 22*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
*⏩ WUQOOF E ARAFAT KE MAKROOHAT AUR MASAIL*
▶ Guroob e aftaab se pehle Wuqoof chordh kar rawaangi jabh ki guroob tak arafat ki haddoñ se bahar na ho jaaye warna haram hai.
▶ Namaz e asr wa zohar milaane ke baad mauqaff ko jaane deir karna.
▶ Uss waqt se guroob tak khaane peene ya khuda ki taraf tawajjoh ke siwa kisi kaam mein mas
MASAIL.*
*ool hona.
▶ Koi dunyawi baat karna.
▶ Guroob par yakeen ho jaane ke baad ravaangi mein deir karna.
▶ Maghrib ya isha arafat mein padhna
*▶ Masla* - Wuqoof ka waqt navvi (9) Zilhijjah Ke aaftaab dhalne se dasvi (10) ki tulu'e fajr ( subha sadiq yaani fajr ki namaz ka waqt shuru hone) tak hai iss waqt ke alawa kisi aur waqt Wuqoof kiya toh hajj na mila magar ek soorat mein woh yeh ki Zilhijjah ka chand dikhayi na diya zi'qada ke tees (30) din poore karke Zilhijjah ka mahina shuru kiya aur iss hisaab se aaj navvi hai baad ko sabit huwa ki untees (29) ka chand huwa toh iss hisaab se dasvi hogi aur Wuqoof dasvi tareekh ko huwa magar zarooratan yeh jayez mana jayega aur agar dhoka huwa ki anthvi (8) ko navvi samajh kar Wuqoof kiya phir maloom huwa toh yeh Wuqoof sahi na huwa.
*▶ Masla* - Agar gawahoñ ne raat ke waqt gawahi di ki navvi tareekh aaj thi aur yeh dasvi raat hai toh agar iss raat mein sab logo ya aksar ke saath imam Wuqoof kar sakta hai toh Wuqoof laazim hai Wuqoof na kare toh hajj faut ho jayega yaani hajj phir se karna farz hoga agar itna waqt baaki na ho ki aksar logoñ ke saath imam khud Wuqoof kare agarche khud imam aur jo thode log jaldi karke jaaye toh subha se pehle pahuch jayenge magar jo log paidal hai aur jinke saath baal bache hai aur jinke paas saaman zyada hai unko Wuqoof na milega toh uss shadat ke muwafik amal na kare.
*📚 Alamgiri*
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें