WUQOOF E ARAFAT2⃣3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 23*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ WUQOOF E ARAFAT*

*▶ Masla* - Thodi deir thehairne se bhi Wuqoof hojata hai chaahe usse maloom ho ki arafat hai ya maloom na ho, ba wazu ho ya be wazu, junoob (napaak) ho ya haiz wa nifaas wali aurat, sota ho ya bedaar ho, hosh mein ho ya junoon wa behoshi mein yahañ tak ki arafat se ho kar jo guzar gaya usse Hajj mil gaya yaani abh Hajj uska fasid bekaar na hoga jabh ki yeh sab ehraam se ho. Behoshi mein ehraam ki soorat yeh hai ki pehle hosh mein tha aur usi waqt ehraam baandh liya tha aur agar ehraam bandhne se pehle behosh hogaya aur uske saathiyoñ mein se kisi ne ya kisi aur ne uski taraf se ehraam baandh diya agarche iss ehraam baandhne wale ne khud apni taraf se bhi baandha ho ki uska ehraam iske ehraam ke munaafi khilaaf nahi toh iss soorat mein bhi woh muhrim hogaya. Doosre ke ehraam baandhne ka yeh matlab nahi ki uske kapde utaarkar tehband baandh de balki yeh ki uski taraf se niyyat kare aur labbaik kahe.
*▶ Masla* - Aaftab doobne se pehle bheed bhaad ke khauf se arafat ki haddoñ se bahar hogaya uss par dum wajib hai phir agar aaftab doobne se pehle wapas aaya aur tehrah raha yahañ tak ki aaftab guroob hogaya toh dum maaf hogaya aur agar sooraj doobne ke baad wapas aya toh dum maaf na huwa.

*📚 Alamgiri.*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10