MUZDALIFA KE WUQOOF WA MEENA KE AAMAAL AUR HAJJ KE BAAKIYA AAF'AAL 2⃣5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 25*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ MUZDALIFA KE WUQOOF WA MEENA KE AAMAAL AUR HAJJ KE BAAKIYA AAF'AAL*

▶ *Masla -* Wuqoof e Muzdalifa ka waqt namaz e fajr ka waqt shuru hone se pehle ujala hone tak hai yaani sooraj nikalne se pehle tak hai iss darmiyan mein Wuqoof na kiya toh faut hogaya aur agar iss waqt mein yahañ se ho kar guzar gaya toh Wuqoof ho gaya aur Wuqoof e Arfat mein jo baatein thi woh yahañ bhi hai.
▶ Namaz e fajr se qabl magar tulu'e fajr ke baad yahañ se chala gaya ya tulu'e aaftab ke baad gaya toh bura kiya magar uss par dum wajib nahi.
▶ Jab tulu'e aaftab (sooraj nikalne) mein do rakaat padhne ka waqt baaki reh jaaye imaam ke saath meena ko chalo aur yahañ se chhoti chhoti kankariyan khajoor ki gutli barabar ki paak jagah se uthakar teen baar dholo kisi patthar ko todh kar kankariyan na banao aur kankariya na najees (napaak) jagah ki ho na masjid ki na jamra ke paas ki.
▶ Raaste mein phir ba dastoor zikr karo dua wa darood wa kasrat se labbaik mein mashool raho.
▶ Jamartul aqba ki rami.
▶ Jabh Meena pahucho sab kaamoñ se pehle jamartul aqba ko jaao jo idhar se pichla jamra hai aur Makkah Mu'azzama se pehla jamra hai, do manzila sadak ke upar ya neeche jamra se kam se kam paanch haath hate huwe yuñ khade ho ki meena dahne haath par aur Kaaba baayeiñ haath ko aur jamra ki taraf muñh ho saat (7) kankariyan alag alag ho kar maaro (yaani ek ek karke maaro)



https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10