RAMI KE MASAAIL 2⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 26*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ RAMI KE MASAAIL*
▶ Saañt (7) se kam jaaiz nahi agar sirf teen maari ya bilkul nahi toh dum lazim hoga aur agar chaar maari toh baaki har kankari ke badle sadqa deiñ.
▶ Sab kankariyan ek saath phenki toh yeh saañtoñ ek ke qayim maqaam (jagah) huwi (yaani ek hi gini jaaegi)
▶ Jamra ke paas se kankariyan uthana makrooh hai ki wahañ wahi kankariyan reh jaati hai jo maqbool nahi hoti aur mardood ho jaati hai aur jo maqbool ho jaati hai utha li jaati hai.
▶ Iss rami ka waqt aaj ki fajr se gyarwi ki fajr tak hai magar Masnoon Sunnat yeh hai ki tulu'e aaftaab se zawaal tak ho aur zawaal se guroob tak mubaah aur guroob se fajr tak makrooh yuñhi dasvi ki namaze fajr ka waqt shuru hone se tulu'e aaftaab tak makrooh aur agar kisi uzr ke sabab ho maslan charwaho ne raat mein rami ki toh karahat nahi.

*📚 Raddul Mohtar.*



https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10