HAJJ KI QURBANI WA MASAAIL AUR HALAQ 2⃣7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Safar e Hajj 🥀* 



*POST 27*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

*⏩ HAJJ KI QURBANI WA MASAAIL AUR HALAQ*
▶ Abh rami se farig ho kar qurbani mein mashgool ho yeh qurbani woh nahi jo bakri eid mein huwa karti hai ki woh toh musafir par bilkul nahi aur muqeem maaldaar par wajib hai agarche Hajj mein ho, balki yeh Hajj ka shukrana hai qiraan aur mutamatte par wajib agarche fakeer ho aur mufrid ke liye mustahab agarche ghani ho, jaanwar ki umr wa aaza mein wahi sharte hai jo eid ki qurbani mein hai.
▶ Mohtaj mehaz yaani jiski milk mein na qurbani ke layak koi jaanwar ho na uske paas itna naqad ya asbaab ki usey bechkar kar sake woh agar qiraan ya tamatto ki niyyat karlega toh iss par qurbani ke badle dus (10) roze wajib honge, teen (3) toh hajj ke mahine mein yaani pehli shawwal se navvi zil hijja tak ehraam bandhne ke baad, iss beech mein jabh chahe rakle ek saath, chahe juda juda aur behtar yeh hai 7,8,9 ko rakhe baaki 7 terhvi zilhijja ke baad jabh chahe rakhe aur behtar yeh hai ki yeh saat (7) roze ghar pahuch kar ho.
▶ Qurbani ke baad qibla muñh baith kar mard halq kare yaani tamaam sar mundaaye ke yeh afzal hai ya baal katarwaye ki chhoth hai. Aurtoñ ko baal mundana haraam hai ki ek pora barabar baal katarwa de balki khud apne baal ek pora barabar kaat de. Mufrid agar qurbani kare toh uske liye mustahab yeh hai ke qurbani ki jabh bhi harj nahi aur tamatto wa qiraan wale par qurbani ke baad halq karna wajib hai yaani agar qurbani se pehle sar mundaya toh dum wajib hoga.
▶ Sar mundaane ya baal katarwane ka waqt ayyame naher hai yaani 10,11,12 aur afzal pehla din yaani dasvi zilhijjah.

*📚 Alamgiri*



https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

वहाबी देवबन्दी का ज़बीहा हराम है

Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe

एक शख़्स के पास इतना माल नहीं कि निसाब को पहुंचे लेकिन खेती की ज़मीन निसाब से कई गुना ज़्यादा है उस पर कुर्बानी वाजिब है या नहीं*10