Buzurgo Ke Naam Se Qurbani
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Buzurgo Ke Naam Se Qurbani 🥀*
*Sawal*
✏️ kya farmate hai ulama e din masala zaid Ne Walid ke maujudgi men jab ke beta khud malik e nisab hai baap se koi matlab nahi rahta or zaid ka kahna hai ki gaus e paak ke naam se qurbani karne se behtar hai ke khud apne naam se karlen kiya ye jumla durust hai Aap hamari rahnumai farmayen
*Jawab*
✏️(1 ) Zaid agar sahibe nisab hai to zaid pe khud ki taraf se qurbani karna wajib hai Agar khud ki taraf se qurbani ke dino min khud ke zimma se wajib na ada diya or qurbani ke din nikal gaye to zaid gunah gar huwa ab zaid ak bakari sadqa min de Ya us ki jo raqam hoti hai wah de tab qurbani ka wajub Sar se utre ga Agar sadqa na diya to wajib Sar pe barqarar raha Kisi buzur ki taraf se qurbani karne se bahtar hai ke pahle khud ke upar jo wajib hai use ada kare or usat hai to phir kisi buzurg ki taraf se qurbani kare Kisi ke taraf se zaid pe qurbani karna wajib nahi hai balke mustahab w sawab hai.
✏️ Is tarah samjha jaye jaise namaz baligh aaqil pe faraz hai Jab tak namaz ada na kare ga tab tak zimma se faraz namaz na utre gi isi tarah se qurbani ka muamla hai sahibe nisab jab tak khud ki taraf se qurbani nahi kare ga tab tak bariuzzimma na ho ga ،،
(2 )
Zaid ke Walid ke kahna ke ghos pak ke nam se qurbani karne se bahtar hai ke beta zaid apne Sar se pahle wajib utare . Walid khud ke qol min sahi hai . Walid pe kuchh hukam nahi hai .
(3) zaid walid ko naraz rakhe huwa hai zaid ki koi ibadat qabul nahi ho gi . Zaid pe wajib hai ke wadain ko khush rakhe . Take .Allah ta'ala khush ho .
📚Fatawa faizur rasul w digar kutub min parhe
*✍️ Abdul wahab. Razwi, ashrafi*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें